वह कभी कह न सकी
मगर गहन विश्लेषण के बाद
उसने ख़ुद के ही कर डाले थे टुकड़े-टुकड़े
पता नहीं कैसी शाम थी कि
ऊब ने हलक़ में चीरा लगाकर
शब्द चुरा लिए
उसके बाद
तमाम उम्र
गर्भनाल का सिरा छटपटाता ढूँढ़ता रहा
अपना मूल
और वह उलझी सुलझी-सी
अपने ही खो चुके हिस्सों को ढूँढ़ती रही
आसमान बदहवास-सा
ख़्वाबों की मृत कड़ियों को दफ़न करता रहा
और चाँद अपनी बेहयाई पर
मुस्कुराता हुआ मिलता रहा
नवंबर की रातें
देह की मुँडेर पर से गिर पड़तीं
व्याकुलताओं के तस्मे बाँधे जिस्म
हर रात छत से कूदकर
आत्महत्या के बहाने ढूँढ़ता
wo kabhi kah na saki
magar gahan vishleshan ke baad
usne khud ke hi kar Dale the tukDe tukDe
pata nahin kaisi shaam thi ki
uub ne halaq mein chira lagakar
shabd chura liye
uske baad
tamam umr
garbhnal ka sira chhatpatata DhunDhata raha
apna mool
aur wo uljhi suljhi si
apne hi kho chuke hisson ko DhunDhati rahi
asman badahvas sa
khvabon ki mrit kaDiyon ko dafan karta raha
aur chaand apni behayai par
muskurata hua milta raha
navambar ki raten
deh ki munDer par se gir paDtin
vyakultaon ke tasme bandhe jism
har raat chhat se kudkar
atmahatya ke bahane DhunDhata
wo kabhi kah na saki
magar gahan vishleshan ke baad
usne khud ke hi kar Dale the tukDe tukDe
pata nahin kaisi shaam thi ki
uub ne halaq mein chira lagakar
shabd chura liye
uske baad
tamam umr
garbhnal ka sira chhatpatata DhunDhata raha
apna mool
aur wo uljhi suljhi si
apne hi kho chuke hisson ko DhunDhati rahi
asman badahvas sa
khvabon ki mrit kaDiyon ko dafan karta raha
aur chaand apni behayai par
muskurata hua milta raha
navambar ki raten
deh ki munDer par se gir paDtin
vyakultaon ke tasme bandhe jism
har raat chhat se kudkar
atmahatya ke bahane DhunDhata
स्रोत :
रचनाकार : गुंजन उपाध्याय पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.