वैसे भी
उससे रोज़-रोज़ मिलना
कहाँ हो पाता है
फिर भी उसका शहर में होना
इत्मीनान की तरह है
कि जब मन में
आएगा
उठेंगे और मिल आएँगे
नहीं भी मिले
तो दिख ही जाएगी
आते-जाते
दुआ सलाम के साथ
एक अर्थपूर्ण मुस्कुराहट उठेगी
उसके चेहरे पर
और वह
हवा में हाथ हिलाते हुए
आगे बढ़ जाएगी
इस तरह महीनों निकल जाएँगे
बिना देखे
बिना मिले
और
बिना बात किए
उसके शहर में न होने से
इत्मीनान थोड़ा दरक़ जाता है
आसमान थोडा उदास हो जाता है
हवा में ऑक्सीजन कम हो जाती है
धरती का नमक कम हो जाता है
पक्षियों का चहचहाना कम हो जाता है
यह भी नहीं कि
रोज़मर्रा के काम बंद हो जायँ
या ठीक से नींद न आए
बस्स
मन के कोने में कहीं
एक चोर घड़ी
टिकटिकाने लगती है
उसके लौटने का इंतज़ार करती हुई-सी।
waise bhi
usse roz roz milna
kahan ho pata hai
phir bhi uska shahr mein hona
itminan ki tarah hai
ki jab man mein
ayega
uthenge aur mil ayenge
nahin bhi mile
to dikh hi jayegi
ate jate
dua salam ke sath
ek arthapurn muskurahat uthegi
uske chehre par
aur wo
hawa mein hath hilate hue
age baDh jayegi
is tarah mahinon nikal jayenge
bina dekhe
bina mile
aur
bina baat kiye
uske shahr mein na hone se
itminan thoDa daraq jata hai
asman thoDa udas ho jata hai
hawa mein oxygen kam ho jati hai
dharti ka namak kam ho jata hai
pakshiyon ka chahchahana kam ho jata hai
ye bhi nahin ki
rozmarra ke kaam band ho jayan
ya theek se neend na aaye
bass
man ke kone mein kahin
ek chor ghaDi
tikatikane lagti hai
uske lautne ka intzar karti hui si
waise bhi
usse roz roz milna
kahan ho pata hai
phir bhi uska shahr mein hona
itminan ki tarah hai
ki jab man mein
ayega
uthenge aur mil ayenge
nahin bhi mile
to dikh hi jayegi
ate jate
dua salam ke sath
ek arthapurn muskurahat uthegi
uske chehre par
aur wo
hawa mein hath hilate hue
age baDh jayegi
is tarah mahinon nikal jayenge
bina dekhe
bina mile
aur
bina baat kiye
uske shahr mein na hone se
itminan thoDa daraq jata hai
asman thoDa udas ho jata hai
hawa mein oxygen kam ho jati hai
dharti ka namak kam ho jata hai
pakshiyon ka chahchahana kam ho jata hai
ye bhi nahin ki
rozmarra ke kaam band ho jayan
ya theek se neend na aaye
bass
man ke kone mein kahin
ek chor ghaDi
tikatikane lagti hai
uske lautne ka intzar karti hui si
स्रोत :
रचनाकार : सदानंद शाही
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.