अब और लड़ा नहीं जाता मुझसे तुमसे
अब और गुरेज़ नहीं मुझे तुम्हारी बेसिर पैर की बातों से
मैंने कल ही जाना है कि हमेशा नहीं रहोगी मेरे साथ
सबकी माँएँ मर जाती हैं एक दिन
बेतरतीब हो गई हैं तुम्हारी माँसपेशियाँ
और याददाश्त
शायद हड्डियाँ घिसने से कुछ और छोटी हो गई हो
बाल भी कहीं हल्के कहीं थोड़े कम हल्के हैं
साँस लेती हो
तो दूर बैठी भी सुन लेती हूँ घरघराहट
फिर भी जब जाओगी
तब मैं
रेशा रेशा बिखर जाऊँगी
तुम्हारे बिना
रात भर मैं तुम्हारे छोटे छोटे भरे होंठों
के गीले चुंबन चिपकाती रही
अपनी हथेली से माथे और गालों पर
जो पोंछ कर रख दिए थे मैंने
झुँझला कर एक दिन हड़बड़ी में
मुझे हमेशा खला कि
तुम और माँओं जैसी नहीं थीं
साधारण और शांत
तो क्यों तुम माँ ही निकलीं
सब माँओं सी
जानती थी कि
माँ का मरना बहुत बुरा होता है
शायद दुनिया में सबसे बुरा
नहीं जानती थी
कि यह अपनी देह से बिछड़ना था
मैं कितना अधिक जानती हूँ
इस दुनिया को तुम्हारे बनिस्बत
तुम कितना कम जानती हो इन दिनों
रास्ते नहीं मालूम ज़्यादा कहीं के
कितना डरती हो हर बात से आज कल
मरने से भी
फिर भी दूसरी दुनिया की देहरी पर तुम्हें
अकेला भेज दूँगी मैं
बिलकुल अकेला
रुग्ण दुर्बल और भ्रांत।
ab aur laDa nahin jata mujhse tumse
ab aur gurez nahin mujhe tumhari besir pair ki baton se
mainne kal hi jana hai ki hamesha nahin rahogi mere sath
sabki manen mar jati hain ek din
betartib ho gai hain tumhari mansapeshiyan
aur yadadasht
shayad haDDiyan ghisne se kuch aur chhoti ho gai ho
baal bhi kahin halke kahin thoDe kam halke hain
sans leti ho
to door baithi bhi sun leti hoon ghargharaht
phir bhi jab jaogi
tab main
resha resha bikhar jaungi
tumhare bina
raat bhar main tumhare chhote chhote bhare honthon
ke gile chumban chipkati rahi
apni hatheli se mathe aur galon par
jo ponchh kar rakh diye the mainne
jhunjhla kar ek din haDbaDi mein
mujhe hamesha khala ki
tum aur manon jaisi nahin theen
sadharan aur shant
to kyon tum man hi niklin
sab manon si
janti thi ki
man ka marna bahut bura hota hai
shayad duniya mein sabse bura
nahin janti thi
ki ye apni deh se bichhaDna tha
main kitna adhik janti hoon
is duniya ko tumhare banisbat
tum kitna kam janti ho in dinon
raste nahin malum zyada kahin ke
kitna Darti ho har baat se aaj kal
marne se bhi
phir bhi dusri duniya ki dehri par tumhein
akela bhej dungi main
bilkul akela
rugn durbal aur bhrant
ab aur laDa nahin jata mujhse tumse
ab aur gurez nahin mujhe tumhari besir pair ki baton se
mainne kal hi jana hai ki hamesha nahin rahogi mere sath
sabki manen mar jati hain ek din
betartib ho gai hain tumhari mansapeshiyan
aur yadadasht
shayad haDDiyan ghisne se kuch aur chhoti ho gai ho
baal bhi kahin halke kahin thoDe kam halke hain
sans leti ho
to door baithi bhi sun leti hoon ghargharaht
phir bhi jab jaogi
tab main
resha resha bikhar jaungi
tumhare bina
raat bhar main tumhare chhote chhote bhare honthon
ke gile chumban chipkati rahi
apni hatheli se mathe aur galon par
jo ponchh kar rakh diye the mainne
jhunjhla kar ek din haDbaDi mein
mujhe hamesha khala ki
tum aur manon jaisi nahin theen
sadharan aur shant
to kyon tum man hi niklin
sab manon si
janti thi ki
man ka marna bahut bura hota hai
shayad duniya mein sabse bura
nahin janti thi
ki ye apni deh se bichhaDna tha
main kitna adhik janti hoon
is duniya ko tumhare banisbat
tum kitna kam janti ho in dinon
raste nahin malum zyada kahin ke
kitna Darti ho har baat se aaj kal
marne se bhi
phir bhi dusri duniya ki dehri par tumhein
akela bhej dungi main
bilkul akela
rugn durbal aur bhrant
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.