मैं जब लौटा तो देखा
पोटली में बँधे हुए बूँटों ने
फेंके हैं अंकुर।
दो दिनों के बाद लौटा हूँ वापस
अजीब गंध है घर में
किताबों, कपड़ों और निर्जन हवा की
फेंटी हुई गंध
पड़ी है चारों ओर धूल की एक पर्त
और जकड़ा है जग में बासी जल
जीवन की कितनी यात्राएँ करता रहा यह निर्जन मकान
मेरे साथ
तट की तरह स्थिर, पर गतियों से भरा
सहता जल का समस्त कोलाहल—
सूख गए हैं नीम के दातौन
और पोटली में बँधे हुए बूँटों ने फेंके हैं अंकुर
निर्जन घर में जीवन की जड़ों को
पोसते रहे हैं ये अंकुर
खोलता हूँ खिड़की
और चारों ओर से दौड़ती है हवा
मानो इसी इंतज़ार में खड़ी थी पल्लों से सट के
पूरे घर को जल भरी तसली-सा हिलाती
मुझसे बाहर मुझसे अनजान
बदल रहा है संसार
आज मैं लौटा हूँ अपने घर
दो दिनों के बाद आज घूमती पृथ्वी के अक्ष पर
फैला है सामने निर्जन प्रांत का उर्वर-प्रदेश
सामने है पोखर अपनी छाती पर
जलकुंभियों का घना संसार भरे।
main jab lauta to dekha
potli mein bandhe hue bunton ne
phenke hain ankur
do dinon ke baad lauta hoon wapas
ajib gandh hai ghar mein
kitabon, kapDon aur nirjan hawa ki
phenti hui gandh
paDi hai charon or dhool ki ek part
aur jakDa hai jag mein basi jal
jiwan ki kitni yatrayen karta raha ye nirjan makan
mere sath
tat ki tarah sthir, par gatiyon se bhara
sahta jal ka samast kolahal—
sookh gaye hain neem ke dataun
aur potli mein bandhe hue bunton ne phenke hain ankur
nirjan ghar mein jiwan ki jaDon ko
poste rahe hain ye ankur
kholta hoon khiDki
aur charon or se dauDti hai hawa
mano isi intzar mein khaDi thi pallon se sat ke
pure ghar ko jal bhari tasli sa hilati
mujhse bahar mujhse anjan
badal raha hai sansar
aj main lauta hoon apne ghar
do dinon ke baad aaj ghumti prithwi ke aksh par
phaila hai samne nirjan prant ka urwar pardesh
samne hai pokhar apni chhati par
jalkumbhiyon ka ghana sansar bhare
main jab lauta to dekha
potli mein bandhe hue bunton ne
phenke hain ankur
do dinon ke baad lauta hoon wapas
ajib gandh hai ghar mein
kitabon, kapDon aur nirjan hawa ki
phenti hui gandh
paDi hai charon or dhool ki ek part
aur jakDa hai jag mein basi jal
jiwan ki kitni yatrayen karta raha ye nirjan makan
mere sath
tat ki tarah sthir, par gatiyon se bhara
sahta jal ka samast kolahal—
sookh gaye hain neem ke dataun
aur potli mein bandhe hue bunton ne phenke hain ankur
nirjan ghar mein jiwan ki jaDon ko
poste rahe hain ye ankur
kholta hoon khiDki
aur charon or se dauDti hai hawa
mano isi intzar mein khaDi thi pallon se sat ke
pure ghar ko jal bhari tasli sa hilati
mujhse bahar mujhse anjan
badal raha hai sansar
aj main lauta hoon apne ghar
do dinon ke baad aaj ghumti prithwi ke aksh par
phaila hai samne nirjan prant ka urwar pardesh
samne hai pokhar apni chhati par
jalkumbhiyon ka ghana sansar bhare
स्रोत :
रचनाकार : अरुण कमल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.