वे बहुत छोटी उम्र में
खेलना छोड़ देते हैं,
छोटी उम्र में ही छोड़ देते हैं
हँसना, रोना,
लगभग जीना भी।
उनकी सफ़ेद चिट्टा आँखों में
पतझड़ का पीलापन
पसरता चला जाता है,
सुर्ख़ होंठों पर
जमती चली जाती है
काली पपड़ी,
धँसती आँखें, पिचकते गाल
उभार देते हैं
चेहरे की हड्डियाँ,
उनकी छाती की गिनी जा सकती है
एक-एक पसली।
उनके हौसले
आसमान में उड़ान नहीं भरते
ज़मीन पर रेंगते हैं,
उनके सपने
हक़ीक़त में बदलने से पहले
कल्पनातीत हो जाते हैं,
उनके विश्वासों को
वक़्त की दीमक चाट जाती है;
वे विरासत से कुछ नहीं पाते,
न विरासत में कुछ दे पाते हैं;
वे आगे बढ़ने के बावजूद
लगातार पिछड़ते हैं,
वे सूर्य की तरह उगते नहीं
चढ़ते नहीं आसमान में,
बस ढलते हैं
किसी सागर में।
औरों की तरह
पैदा होते, मरते हैं,
बस जीते नहीं
औरों की तरह॥
wo bahut chhoti umr mein
khelna chhoD dete hain,
chhoti umr mein hi chhoD dete hain
hansna, rona,
lagbhag jina bhi
unki safed chitta ankhon mein
patjhaD ka pilapan
pasarta chala jata hai,
surkh hothon par
jamti chali jati hai
kali papDi,
dhastin ankhen, pichakte gal
ubhaar dete hain
chehre ki haDDiyan,
unki chhati ki gini ja sakti hai
ek ek pasli
unke hausale
asman mein uDan nahin bharte
zamin par rengte hain;
unke sapne
haqiqat mein badalne se pahle
kalpanatit ho jate hain,
unke wishwason ko
waqt ki dimak chat jati hai;
wo wirasat se kuch nahin pate,
na wirasat mein kuch de pate hain;
wo aage baDhne ke bawjud
lagatar pichhaDte hain,
wo surya ki tarah ugte nahin
chaDhte nahin asman mein,
bus Dhalte hain
kisi sagar mein
auron ki tarah
paida hote, marte hain,
bus jite nahin auron ki tarah॥
wo bahut chhoti umr mein
khelna chhoD dete hain,
chhoti umr mein hi chhoD dete hain
hansna, rona,
lagbhag jina bhi
unki safed chitta ankhon mein
patjhaD ka pilapan
pasarta chala jata hai,
surkh hothon par
jamti chali jati hai
kali papDi,
dhastin ankhen, pichakte gal
ubhaar dete hain
chehre ki haDDiyan,
unki chhati ki gini ja sakti hai
ek ek pasli
unke hausale
asman mein uDan nahin bharte
zamin par rengte hain;
unke sapne
haqiqat mein badalne se pahle
kalpanatit ho jate hain,
unke wishwason ko
waqt ki dimak chat jati hai;
wo wirasat se kuch nahin pate,
na wirasat mein kuch de pate hain;
wo aage baDhne ke bawjud
lagatar pichhaDte hain,
wo surya ki tarah ugte nahin
chaDhte nahin asman mein,
bus Dhalte hain
kisi sagar mein
auron ki tarah
paida hote, marte hain,
bus jite nahin auron ki tarah॥
स्रोत :
रचनाकार : अमित धर्मसिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.