वे क्या तलाश रहे हैं
इस पृथिवी पर?
न गेहूँ की कच्ची बाली
न चने की घेघरी
न बाजरे का सिट्टा
और न कपास का फूल।
न खरास का आटा
न धुनकी की रुई
न हारे में रखी कढ़ावणी
और न बिलौवणे की छाछ।
न राठी या थारपारकर गाय
न मारवाड़ी या कठियावाड़ी घोड़ा
न वेद की ऋचा
न क़ुरआन की आयत
और न कबीर का उलटबाँसी।
न लीलटाँस, न झरबेरी और न पीलू
न डाब, न ढोकले और न गणगौर।
जाने वे क्या तलाश रहे हैं इस पृथिवी पर
न बच्चे के गाल पर ढुलकता आँसू
न औरत की छाती में धुखता हारा
और न शीत की बारिश में
घोंसले से गिरा बच्चा।
उन्हें मंगल पर जीवन की तलाश है
जीवन में मंगल की नहीं।
we kya talash rahe hain
is prithiwi par?
na gehun ki kachchi bali
na chane ki gheghri
na bajre ka sitta
aur na kapas ka phool
na kharas ka aata
na dhunki ki rui
na hare mein rakhi kaDhawni
aur na bilauwne ki chhachh
na rathi ya tharparkar gay
na marawaDi ya kathiyawaDi ghoDa
na wed ki rcha
na quran ki aayat
aur na kabir ka ulatbansi
na liltans, na jharberi aur na pilu
na Dab, na Dhokle aur na gangaur
jane we kya talash rahe hain is prithiwi par
na bachche ke gal par Dhulakta ansu
na aurat ki chhati mein dhukhta hara
aur na sheet ki barish mein
ghonsle se gira bachcha
unhen mangal par jiwan ki talash hai
jiwan mein mangal ki nahin
we kya talash rahe hain
is prithiwi par?
na gehun ki kachchi bali
na chane ki gheghri
na bajre ka sitta
aur na kapas ka phool
na kharas ka aata
na dhunki ki rui
na hare mein rakhi kaDhawni
aur na bilauwne ki chhachh
na rathi ya tharparkar gay
na marawaDi ya kathiyawaDi ghoDa
na wed ki rcha
na quran ki aayat
aur na kabir ka ulatbansi
na liltans, na jharberi aur na pilu
na Dab, na Dhokle aur na gangaur
jane we kya talash rahe hain is prithiwi par
na bachche ke gal par Dhulakta ansu
na aurat ki chhati mein dhukhta hara
aur na sheet ki barish mein
ghonsle se gira bachcha
unhen mangal par jiwan ki talash hai
jiwan mein mangal ki nahin
स्रोत :
रचनाकार : त्रिभुवन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.