उन शब्दों के बारे में
जिसे मैं रोज़ दोहराता हूँ
और जो मुझमें रहता है ऐसे
जैसे देह में जान रहती है
मैं कबसे सोच रहा था
कि एक दिन एकांत में सोचूँगा
और इस तरह प्यार करूँगा इससे
जैसे जिस दिन कुछ भी नहीं लिख पाता
उस दिन भी सादर नमन
और हार्दिक बधाई ज़रूर लिखता हूँ
इसके साथ ही ऐसे दिनों में
शुभकामनाएँ और मंगलकामनाएँ
बार-बार लिखता हूँ
इस मन का क्या है
यह कभी भी उदास हो सकता है
किसी भी दृश्य पर यह ज़ुबान
चुप्पी साध सकती है
और कभी भी निरपेक्ष होकर यह मस्तिष्क
सोचने से इनकार कर सकता है
लेकिन इन स्थितियों में भी होंठ हिले
और जो शब्द अपने आप निकले
जैसे कि आह
या कि वाह
उनका शुक्रिया
कि इन शब्दों ने ही बताया
और सिखाया
कि ये झरते हैं ऐसे
जैसे हवा बहती है तो
हरसिंगार के फूल झरते हैं।
un shabdon ke bare mein
jise main roz dohrata hoon
aur jo mujhmen rahta hai aise
jaise deh mein jaan rahti hai
main kabse soch raha tha
ki ek din ekant mein sochunga
aur is tarah pyar karunga isse
jaise jis din kuch bhi nahin likh pata
us din bhi sadar naman
aur hardik badhai zarur likhta hoon
iske sath hi aise dinon mein
shubhkamnayen aur mangalkamnayen
bar bar likhta hoon
is man ka kya hai
ye kabhi bhi udas ho sakta hai
kisi bhi drishya par ye zuban
chuppi sadh sakti hai
aur kabhi bhi nirpeksh hokar ye mastishk
sochne se inkar kar sakta hai
lekin in sthitiyon mein bhi honth hile
aur jo shabd apne aap nikle
jaise ki aah
ya ki wah
unka shukriya
ki in shabdon ne hi bataya
aur sikhaya
ki ye jharte hain aise
jaise hawa bahti hai to
harsingar ke phool jharte hain
un shabdon ke bare mein
jise main roz dohrata hoon
aur jo mujhmen rahta hai aise
jaise deh mein jaan rahti hai
main kabse soch raha tha
ki ek din ekant mein sochunga
aur is tarah pyar karunga isse
jaise jis din kuch bhi nahin likh pata
us din bhi sadar naman
aur hardik badhai zarur likhta hoon
iske sath hi aise dinon mein
shubhkamnayen aur mangalkamnayen
bar bar likhta hoon
is man ka kya hai
ye kabhi bhi udas ho sakta hai
kisi bhi drishya par ye zuban
chuppi sadh sakti hai
aur kabhi bhi nirpeksh hokar ye mastishk
sochne se inkar kar sakta hai
lekin in sthitiyon mein bhi honth hile
aur jo shabd apne aap nikle
jaise ki aah
ya ki wah
unka shukriya
ki in shabdon ne hi bataya
aur sikhaya
ki ye jharte hain aise
jaise hawa bahti hai to
harsingar ke phool jharte hain
स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश कुमार राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.