यह जो हो रहा है
हम नहीं कर सकते इसे बरदाश्त
हमने तो रोशनी चाही थी
उजाले के हम सिपाही
किरणों की अगवानी में थे
हमारे होठों पर था साहिर का गीत
‘वो सुबह कभी तो आएगी’
हम गाते-वो सुबह हमीं से आएगी
धुँध ही धुँध
धुआँ ही धुआँ
यह कैसा अँधेरा
कितना घना?
जो गा रहे थे,
वे अचानक चुप क्यों हो गए?
क्यों बंद हो गई साज की आवाज़?
यह रुदन, यह घुटन क्यों?
जो विरोध में थे, वे तरल हो बहने लगे
इस ढलुवा सतह पर लुढ़कने लगे
अपना तल तलाशने लगे
क्या इतना तरल हो सकता है विरोध?
यू आर अनंतमूर्ति ने जो कहा था
क्या वह सही कहा था?
उन्हें धमकी भरी तजवीज़ दी गई
वे देश छोड़ चले जाएँ
वीजा ले-लें
अब तो यह तजवीज़ उन सब के लिए है
जो उनके साथ नहीं
हवा में सनसना रही हैं धमकियाँ ही धमकियाँ
गाँव छोड़ दो
मोहल्ला छोड़ दो
शहर छोड़ दो
देश छोड़ दो
चले जाओ
पाकिस्तान चले जाओ
जैसे यह देश उनके बाप का है
मैं पुरजोर कहता हूँ
मिल-जुलकर बनाया है हमने यह देश
इसकी मिट्टी में हमारे पुरखों की हड्डियाँ गली हैं
हम रहेंगे, यही रहेंगे
भले ही निराशा हमलावर हो गई है
और उम्मीद भूमिगत
पर यह उम्मीद ही है
हाँ, हाँ उम्मीद ही है
जो राख़ के इस ढेर में
कहीं बहुत गहरे चिंगारी की तरह
अब भी सुलग रही है।
ye jo ho raha hai
hum nahin kar sakte ise bardasht
hamne to roshni chahi thi
ujale ke hum sipahi
kirnon ki agvani mein the
hamare hothon par tha sahir ka geet
‘vo subah kabhi to ayegi’
hum gate wo subah hamin se ayegi
dhundh hi dhundh
dhuan hi dhuan
ye kaisa andhera
kitna ghana?
jo ga rahe the,
ve achanak chup kyon ho ge?
kyon band ho gai saaj ki avaz?
ye rudan, ye ghutan kyon?
jo virodh mein the, ve taral ho bahne lage
is Dhaluva satah par luDhakne lage
apna tal talashne lage
kya itna taral ho sakta hai virodh?
yu aar anantmurti ne jo kaha tha
kya wo sahi kaha tha?
unhen dhamki bhari tajviz di gai
ve desh chhoD chale jayen
vija le len
ab to ye tajviz un sab ke liye hai
jo unke saath nahin
hava mein sansana rahi hain dhamkiyan hi dhamkiyan
gaanv chhoD do
mohalla chhoD do
shahr chhoD do
desh chhoD do
chale jao
pakistan chale jao
jaise ye desh unke baap ka hai
main purjor kahta hoon
miljul kar banaya hai hamne ye desh
iski mitti mein hamare purkhon ki haDDiyan gali hain
hum rahenge, yahi rahenge
bhale hi nirasha hamlavar ho gai hai
aur ummid bhumigat
par ye ummid hi hai
haan, haan ummid hi hai
jo raakh ke is Dher men
kahin bahut gahre chingari ki tarah
ab bhi sulag rahi hai.
ye jo ho raha hai
hum nahin kar sakte ise bardasht
hamne to roshni chahi thi
ujale ke hum sipahi
kirnon ki agvani mein the
hamare hothon par tha sahir ka geet
‘vo subah kabhi to ayegi’
hum gate wo subah hamin se ayegi
dhundh hi dhundh
dhuan hi dhuan
ye kaisa andhera
kitna ghana?
jo ga rahe the,
ve achanak chup kyon ho ge?
kyon band ho gai saaj ki avaz?
ye rudan, ye ghutan kyon?
jo virodh mein the, ve taral ho bahne lage
is Dhaluva satah par luDhakne lage
apna tal talashne lage
kya itna taral ho sakta hai virodh?
yu aar anantmurti ne jo kaha tha
kya wo sahi kaha tha?
unhen dhamki bhari tajviz di gai
ve desh chhoD chale jayen
vija le len
ab to ye tajviz un sab ke liye hai
jo unke saath nahin
hava mein sansana rahi hain dhamkiyan hi dhamkiyan
gaanv chhoD do
mohalla chhoD do
shahr chhoD do
desh chhoD do
chale jao
pakistan chale jao
jaise ye desh unke baap ka hai
main purjor kahta hoon
miljul kar banaya hai hamne ye desh
iski mitti mein hamare purkhon ki haDDiyan gali hain
hum rahenge, yahi rahenge
bhale hi nirasha hamlavar ho gai hai
aur ummid bhumigat
par ye ummid hi hai
haan, haan ummid hi hai
jo raakh ke is Dher men
kahin bahut gahre chingari ki tarah
ab bhi sulag rahi hai.
स्रोत :
रचनाकार : कौशल किशोर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.