होश सँभालते ही
धरा के हर हिस्से के बाबत
मुझे यही ताक़ीद किया गया कि
हर रोज़ सूरज के डूबने का अर्थ
घर लौट आना है
उसके बाद किसी पर-पुरुष का
कोई भरोसा ही नहीं है!
अब आप समझ सकते हैं कि
मेरी ज़ात दुनिया पर
भरोसा करते रहने के लिए
सूरज के उगने का कितना इंतज़ार करती है!
और क्या आप यह भी समझ सकते हैं कि
हमारे लिए अँधेरे के बाद
किसी पर-पुरुष के लिए जमा भरोसा
कितनी दुर्लभ घटना है!
लेकिन
अगर मैं यह मान लूँ कि
मेरी ज़ात सिर्फ़ और सिर्फ़ अँधेरे से डरती है
तो उन तमाम अव्यक्त थरथराहटों का क्या?
जो उनके भीतर
उजाले को देखकर भी पैदा होती है
जब वे
घर के किवाड़-परदों के पीछे छिपकर
अपने हिस्से के अँधेरे को रोज़ गाढ़ा करती हैं
लेकिन कभी
देहरी पर बैठ सुबकने का साहस नहीं करती
अँधेरे-उजाले में अपने भय को रोज़
बढ़ाती-घटाती मेरी हमज़ातों की
कमर कसते रहने की
इस मुसलसल ज़िद को
आप भले ही ऐतिहासिक पल का दर्जा देने लगे हों
लेकिन मैं अभी भी इसे
इतिहास पुकारने का पाप नहीं करना चाहती हूँ!
hosh sambhalte hi
dhara ke har hisse ke babat
mujhe yahi taqid kiya gaya ki
har roz suraj ke Dubne ka arth
ghar laut aana hai
uske baad kisi par purush ka
koi bharosa hi nahin hai!
ab aap samajh sakte hain ki
meri zat duniya par
bharosa karte rahne ke liye
suraj ke ugne ka kitna intzar karti hai!
aur kya aap ye bhi samajh sakte hain ki
hamare liye andhere ke baad
kisi par purush ke liye jama bharosa
kitni durlabh ghatna hai!
lekin
agar main ye man loon ki
meri zat sirf aur sirf andhere se Darti hai
to un tamam awyakt tharathrahton ka kya?
jo unke bhitar
ujale ko dekhkar bhi paida hoti hai
jab we
ghar ke kiwaD pardon ke pichhe chhipkar
apne hisse ke andhere ko roz gaDha karti hain
lekin kabhi
dehri par baith subakne ka sahas nahin karti
andhere ujale mein apne bhay ko roz
baDhati ghatati meri hamzaton ki
kamar kaste rahne ki
is musalsal zid ko
ap bhale hi aitihasik pal ka darja dene lage hon
lekin main abhi bhi ise
itihas pukarne ka pap nahin karna chahti hoon!
hosh sambhalte hi
dhara ke har hisse ke babat
mujhe yahi taqid kiya gaya ki
har roz suraj ke Dubne ka arth
ghar laut aana hai
uske baad kisi par purush ka
koi bharosa hi nahin hai!
ab aap samajh sakte hain ki
meri zat duniya par
bharosa karte rahne ke liye
suraj ke ugne ka kitna intzar karti hai!
aur kya aap ye bhi samajh sakte hain ki
hamare liye andhere ke baad
kisi par purush ke liye jama bharosa
kitni durlabh ghatna hai!
lekin
agar main ye man loon ki
meri zat sirf aur sirf andhere se Darti hai
to un tamam awyakt tharathrahton ka kya?
jo unke bhitar
ujale ko dekhkar bhi paida hoti hai
jab we
ghar ke kiwaD pardon ke pichhe chhipkar
apne hisse ke andhere ko roz gaDha karti hain
lekin kabhi
dehri par baith subakne ka sahas nahin karti
andhere ujale mein apne bhay ko roz
baDhati ghatati meri hamzaton ki
kamar kaste rahne ki
is musalsal zid ko
ap bhale hi aitihasik pal ka darja dene lage hon
lekin main abhi bhi ise
itihas pukarne ka pap nahin karna chahti hoon!
स्रोत :
रचनाकार : मंजुला बिष्ट
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.