उदास औरतें
सूना आसमान देखने का
समय नहीं पातीं
अतीत में झाँकती हैं
तो छूट जाता है
हाथ से सूप
डगमगाती है पृथ्वी
लगते हैं
भूकंप के झटके
उदास औरतें
जला लेती हैं जीभ
और निपोरती हैं दाँत
समय से पहले भागती हैं
समय से पहले पहुँचकर
साड़ी में फँसा लेती हैं कीलें
उनकी पलकें पत्थर-सी भारी हैं
फिर भी बचा लेती हैं वे
पानी में बहती चीटियाँ
उदास औरतें समझ लेती हैं
पक्षियों का रुदन
और साथ रोती हैं
उदास औरतों को
सूने महल बुलाते हैं
पर वे उर्मिला नहीं बनतीं
वे स्वयं चुनती हैं
अपने ठिकाने
पर कहीं रुकती नहीं
उदास औरतों को
लिखी गई चिट्ठियाँ इसीलिए
उन तक कभी पहुँचती नहीं
udas aurten
suna asman dekhne ka
samay nahin patin
atit mein jhankti hain
to chhoot jata hai
hath se soup
Dagmagati hai prithwi
lagte hain
bhukamp ke jhatke
udas aurten
jala leti hain jeebh
aur niporti hain dant
samay se pahle bhagti hain
samay se pahle pahunchakar
saDi mein phansa leti hain kilen
unki palken patthar si bhari hain
phir bhi bacha leti hain we
pani mein bahti chitiyan
udas aurten samajh leti hain
pakshiyon ka rudan
aur sath roti hain
udas aurton ko
sune mahl bulate hain
par we urmila nahin bantin
we swayan chunti hain
apne thikane
par kahin rukti nahin
udas aurton ko
likhi gai chitthiyan isiliye
un tak kabhi pahunchti nahin
udas aurten
suna asman dekhne ka
samay nahin patin
atit mein jhankti hain
to chhoot jata hai
hath se soup
Dagmagati hai prithwi
lagte hain
bhukamp ke jhatke
udas aurten
jala leti hain jeebh
aur niporti hain dant
samay se pahle bhagti hain
samay se pahle pahunchakar
saDi mein phansa leti hain kilen
unki palken patthar si bhari hain
phir bhi bacha leti hain we
pani mein bahti chitiyan
udas aurten samajh leti hain
pakshiyon ka rudan
aur sath roti hain
udas aurton ko
sune mahl bulate hain
par we urmila nahin bantin
we swayan chunti hain
apne thikane
par kahin rukti nahin
udas aurton ko
likhi gai chitthiyan isiliye
un tak kabhi pahunchti nahin
स्रोत :
रचनाकार : प्रतिभा किरण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.