सालों पहले
अटलांटिक महासागर में
एक आलीशान जहाज़
पूरी भव्यता के साथ
डूबता है
उस पर सिनेमा बनता है
ख़ूब चलता है
तुम उसे डूबते देखती हो
उसमें डूब जाती हो
आँसू बहाती हो
तुम्हारी दादी पपीते का
एक पौधा लगाती हैं,
उसकी पूजा करती हैं,
तुम उसको बराबर
पानी देती हो,
वह तुम्हारे संग-संग
बढ़ता है,
पेड़ बनता है,
दो बार फलता भी है,
फिर न जाने कैसे
धीरे-धीरे
सूखने लगता है,
तुम उसे सूखते देखती हो
खाना-पीना तज देती हो
उसकी चिंता में
सूख जाती हो
पूरनमासी की रात
दूर आकाश में कहीं
एक तारा टूटता है
तुम उसे टूटते देखती हो
टूट जाती हो
कोई मन्नत नहीं माँगती
उल्टे इसको आकाश की
साज़िश बताती हो
और
तुम्हारे बिल्कुल पास
या यूँ कहो
एक कॉल की दूरी पर
तुम्हारी चाहना में डूबा
एक लड़का रहता है
जो तुमसे किसी बात पर
ज़रा-सा रूठ जाता है
तुम उसे रूठते देखती हो
उसको मनाने के बजाए
ख़ुद भी उससे रूठ जाती हो
तुम ऐसा क्यों करती हो
मेरी जाँ?
तुम ऐसा क्यों करती हो?
salon pahle
atlantik mahasagar mein
ek alishan jahaz
puri bhawyata ke sath
Dubta hai
us par cinema banta hai
khoob chalta hai
tum use Dubte dekhti ho
usmen Doob jati ho
ansu bahati ho
tumhari dadi papite ka
ek paudha lagati hain,
uski puja karti hain,
tum usko barabar
pani deti ho,
wo tumhare sang sang
baDhta hai,
peD banta hai,
do bar phalta bhi hai,
phir na jane kaise
dhire dhire
sukhne lagta hai,
tum use sukhte dekhti ho
khana pina taj deti ho
uski chinta mein
sookh jati ho
puranmasi ki raat
door akash mein kahin
ek tara tutta hai
tum use tutte dekhti ho
toot jati ho
koi mannat nahin mangti
ulte isko akash ki
sazish batati ho
aur
tumhare bilkul pas
ya yoon kaho
ek call ki duri par
tumhari chahna mein Duba
ek laDka rahta hai
jo tumse kisi baat par
zara sa rooth jata hai
tum use ruthte dekhti ho
usko manane ke bajaye
khu bhi usse rooth jati ho
tum aisa kyon karti ho
meri jaan?
tum aisa kyon karti ho?
salon pahle
atlantik mahasagar mein
ek alishan jahaz
puri bhawyata ke sath
Dubta hai
us par cinema banta hai
khoob chalta hai
tum use Dubte dekhti ho
usmen Doob jati ho
ansu bahati ho
tumhari dadi papite ka
ek paudha lagati hain,
uski puja karti hain,
tum usko barabar
pani deti ho,
wo tumhare sang sang
baDhta hai,
peD banta hai,
do bar phalta bhi hai,
phir na jane kaise
dhire dhire
sukhne lagta hai,
tum use sukhte dekhti ho
khana pina taj deti ho
uski chinta mein
sookh jati ho
puranmasi ki raat
door akash mein kahin
ek tara tutta hai
tum use tutte dekhti ho
toot jati ho
koi mannat nahin mangti
ulte isko akash ki
sazish batati ho
aur
tumhare bilkul pas
ya yoon kaho
ek call ki duri par
tumhari chahna mein Duba
ek laDka rahta hai
jo tumse kisi baat par
zara sa rooth jata hai
tum use ruthte dekhti ho
usko manane ke bajaye
khu bhi usse rooth jati ho
tum aisa kyon karti ho
meri jaan?
tum aisa kyon karti ho?
स्रोत :
रचनाकार : कुशाग्र अद्वैत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.