मुझे तुम्हारा अस्वीकार क्यों चाहिए
तुम्हारा निर्णय
कि दुहराव से बेहतर है, बदलाव
बदतर से बेहतर है
नाउम्मीदियों से भरी नाव में
वक़्त कोई दर्पण भी कहाँ है
कि चेहरों से ख़ाली होती
उपस्थिति, जहाँ थोथी है
छात्रावास का पंखा जैसे
गली का कुत्ता
जैसे नागफनी, फूल
कहे जाने पर शर्मिंदा
क्या यही दुनिया नहीं
शर्ट से रंग छूट जाता है
देह से मैल नहीं छूटता
भीगे पानी से चेहरा भिगोता
ऐसे में मैं कैसा दिखता हूँ
संसार का भाप पसाते!
अंधकार की रश्मियाँ
माथा चूमकर लौटती थीं
अन्यत्र जाओ संभावनाओं ने कहा
कहीं भी, जाओ चले
अगर मरती न तुम्हारी आवाज़
घड़ी की सुइयों पर
मैं एक आह से बाहर निकल आता
अगर घुलती न बेचैनी
बजबजाता न घाव
मैं क्रम की तरह नहीं टूटता
अगर यही होती मेरी अंतिम प्रार्थना
चैन से सोने देते आज की रात
कम अज़ कम एक किसी को?
mujhe tumhara asvikar kyon chahiye
tumhara nirnay
ki duhrav se behtar hai, badlav
badtar se behtar hai
naummidiyon se bhari naav men
vaqt koi darpan bhi kahan hai
ki chehron se khali hoti
upasthiti, jahan thothi hai
chhatravas ka pankha jaise
gali ka kutta
jaise nagaphni, phool
kahe jane par sharminda
kya yahi duniya nahin
shart se rang chhoot jata hai
deh se mail nahin chhutta
bhige pani se chehra bhigota
aise mein main kaisa dikhta hoon
sansar ka bhaap pasate!
andhkar ki rashmiyan
matha chumkar lautti theen
anyatr jao sambhavnaon ne kaha
kahin bhi, jao chale
agar marti na tumhari avaz
ghaDi ki suiyon par
main ek aah se bahar nikal aata
agar ghulti na bechaini
bajabjata na ghaav
main kram ki tarah nahin tutta
agar yahi hoti meri antim pararthna
chain se sone dete aaj ki raat
kam az kam ek kisi ko?
mujhe tumhara asvikar kyon chahiye
tumhara nirnay
ki duhrav se behtar hai, badlav
badtar se behtar hai
naummidiyon se bhari naav men
vaqt koi darpan bhi kahan hai
ki chehron se khali hoti
upasthiti, jahan thothi hai
chhatravas ka pankha jaise
gali ka kutta
jaise nagaphni, phool
kahe jane par sharminda
kya yahi duniya nahin
shart se rang chhoot jata hai
deh se mail nahin chhutta
bhige pani se chehra bhigota
aise mein main kaisa dikhta hoon
sansar ka bhaap pasate!
andhkar ki rashmiyan
matha chumkar lautti theen
anyatr jao sambhavnaon ne kaha
kahin bhi, jao chale
agar marti na tumhari avaz
ghaDi ki suiyon par
main ek aah se bahar nikal aata
agar ghulti na bechaini
bajabjata na ghaav
main kram ki tarah nahin tutta
agar yahi hoti meri antim pararthna
chain se sone dete aaj ki raat
kam az kam ek kisi ko?
स्रोत :
रचनाकार : सत्यम तिवारी
प्रकाशन : सदानीरा
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.