सुबह-सवेरे लौट रहे थे
घूम-घाम कर
हम दोनों
कि पत्नी को अचानक ब्रेक लगा
और वह देखने लगी
साइकिल पर दूध की थैलियाँ लादे
और हाथ में नीम की टहनी पकड़े
एक किशोर को।
हमने भी उसकी निगाह से देखा।
नीम के मोटे तने की
फटी बिवाइयों में अपने पंजे गड़ाए
एक छोटे से तोते को।
ऊपर बिजली की तार पर बैठे थे
एक लंबी क़तार में कव्वे
कर रहे थे काँव-काँव
और वह छोटा-सा तोता
सहमा हुआ गड़ाए जा रहा था
अपने पंजे उस सख़्त तने में।
वह बना रहा था कवच उस तने को
नहीं जानता था वह मासूम तोता
कि उसका शरीर कवच से बाहर था
सिर्फ़ हमारी उपस्थिति ही रोक रही थी
कव्वों को बहेलिया बनने से
पत्नी ने ममता का आँचल खोलकर
उठा लिया उसे छोटे से तोते को।
तोता टाँव-टाँव कर रहा था
नहीं समझ रहा था तोता कि
आँचल में आना एक सहम से मुक्ति थी
या किसी दूसरे ख़तरे के द्वार में प्रवेश
तोता सहमा हुआ था अभी भी
और हम जानते थे कि
उसे छोड़ते ही कव्वों या फिर
किसी बिल्ली का आहार होगा।
हम तोते को घर ले आए
पानी परोसा और हरी मिर्च तथा हरा धनिया
रखा उसके सामने
वह अभी बाहर नहीं निकला था सहम के चैंबर से
कि उसकी आज़ादी के परों को भी
कर लिया गया क़ैद।
द्वार खोल दो
कहा मैंने और तोते को फिर
पानी पिलाना चाहा
तोते ने पानी नहीं पिया
न खाई हरी मिर्च या धनिया
वह पहला अवसर पाते ही
द्वार से बाहर उड़ गया
अपने आज़ाद लोक में।
subah sawere laut rahe the
ghoom gham kar
hum donon
ki patni ko achanak break laga
aur wo dekhne lagi
cycle par doodh ki thailiyan lade
aur hath mein neem ki tahni pakDe
ek kishor ko
hamne bhi uski nigah se dekha
neem ke mote tane ki
phati biwaiyon mein apne panje gaDaye
ek chhote se tote ko
upar bijli ki tar par baithe the
ek lambi qatar mein kawwe
kar rahe the kanw kanw
aur wo chhota sa tota
sahma hua gaDaye ja raha tha
apne panje us sakht tane mein
wo bana raha tha kawach us tane ko
nahin janta tha wo masum tota
ki uska sharir kawach se bahar tha
sirf hamari upasthiti hi rok rahi thi
kawwon ko baheliya banne se
patni ne mamta ka anchal kholkar
utha liya use chhote se tote ko
tota tanw tanw kar raha tha
nahin samajh raha tha tota ki
anchal mein aana ek saham se mukti thi
ya kisi dusre khatre ke dwar mein prawesh
tota sahma hua tha abhi bhi
aur hum jante the ki
use chhoDte hi kawwon ya phir
kisi billi ka ahar hoga
hum tote ko ghar le aaye
pani parosa aur hari mirch tatha hara dhaniya
rakha uske samne
wo abhi bahar nahin nikla tha saham ke chaimbar se
ki uski azadi ke paron ko bhi
kar liya gaya qaid
dwar khol do
kaha mainne aur tote ko phir
pani pilana chaha
tote ne pani nahin piya
na khai hari mirch ya dhaniya
wo pahla awsar pate hi
dwar se bahar uD gaya
apne azad lok mein
subah sawere laut rahe the
ghoom gham kar
hum donon
ki patni ko achanak break laga
aur wo dekhne lagi
cycle par doodh ki thailiyan lade
aur hath mein neem ki tahni pakDe
ek kishor ko
hamne bhi uski nigah se dekha
neem ke mote tane ki
phati biwaiyon mein apne panje gaDaye
ek chhote se tote ko
upar bijli ki tar par baithe the
ek lambi qatar mein kawwe
kar rahe the kanw kanw
aur wo chhota sa tota
sahma hua gaDaye ja raha tha
apne panje us sakht tane mein
wo bana raha tha kawach us tane ko
nahin janta tha wo masum tota
ki uska sharir kawach se bahar tha
sirf hamari upasthiti hi rok rahi thi
kawwon ko baheliya banne se
patni ne mamta ka anchal kholkar
utha liya use chhote se tote ko
tota tanw tanw kar raha tha
nahin samajh raha tha tota ki
anchal mein aana ek saham se mukti thi
ya kisi dusre khatre ke dwar mein prawesh
tota sahma hua tha abhi bhi
aur hum jante the ki
use chhoDte hi kawwon ya phir
kisi billi ka ahar hoga
hum tote ko ghar le aaye
pani parosa aur hari mirch tatha hara dhaniya
rakha uske samne
wo abhi bahar nahin nikla tha saham ke chaimbar se
ki uski azadi ke paron ko bhi
kar liya gaya qaid
dwar khol do
kaha mainne aur tote ko phir
pani pilana chaha
tote ne pani nahin piya
na khai hari mirch ya dhaniya
wo pahla awsar pate hi
dwar se bahar uD gaya
apne azad lok mein
स्रोत :
पुस्तक : मुक्ति-द्वार के सामने (पृष्ठ 81)
रचनाकार : प्रताप सहगल
प्रकाशन : अमरसत्य प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.