कल मेरे प्राणों में कोई रो रहा था। बाहर सब शांत था। भीतर भीतर भारी व्यथा भर गई थी। जी बड़ा उदास था। कौन-सी हवा थी वह जो अपनी लहरों से घेर घेरकर मुझको बाँध गई।
किसका दुख यह मेरे मन में आकर ठहरा। किसने गुमनाम पत्र यह अपना भेजा है। मैंने जो पाया है उसको कैसे अपने अंदर के कोने में मौन पड़ा रहने दूँ? अगर किसी राही को काँटा गड़ जाता है तो क्या वह काँटे को लिए दिए उसी तरह चलता है? मैं इसका क्या करूँ?
मैं बिल्कुल स्वस्थ हूँ। तन मन में मेरे कोई कंपन नहीं है और कल के उस क्षण तक मैं बहुत प्रसन्न था। अब जी को चैन नहीं। आख़िर किसने अपना प्राण-भरा अवसाद मेरे मन के मन में भर दिया?
किसी की प्रतीक्षा मुझे नहीं थी। अपना कोई अभाव मुझ पर नहीं हावी था। मैं था निश्चिंत; कहूँ चिंता की चिंता से बिल्कुल अनजान था। लेकिन अनजाना अवसाद किसी का उड़कर मेरे उर की कोमल टहनी पर आ बैठा।
दुनिया के किसी छोर पर रहने वाले ओ जीवधारी, तुम कुछ हो, कोई हो, कोई भी प्राणी हो, स्थलचर, जलचर, नभचर कोई भी—अपनी अनजानी संवेदनाएँ भेजकर तुमने उपकार किया। मैं इन आवर्तों में बँधा हुआ आज कहाँ हूँ, अपने लोगों का हूँ, अपनी दुनिया का हूँ। आज मैं तुम्हारा हूँ। बिल्कुल तुम्हारा हूँ, केवल तुम्हारा हूँ, कहीं रहो, कोई हो।
kal mere pranon mein koi ro raha tha bahar sab shant tha bhitar bhitar bhari wyatha bhar gai thi ji baDa udas tha kaun si hawa thi wo jo apni lahron se gher gherkar mujhko bandh gai
kiska dukh ye mere man mein aakar thahra kisne gumnam patr ye apna bheja hai mainne jo paya hai usko kaise apne andar ke kone mein maun paDa rahne doon? agar kisi rahi ko kanta gaD jata hai to kya wo kante ko liye diye usi tarah chalta hai? main iska kya karun?
main bilkul swasth hoon tan man mein mere koi kampan nahin hai aur kal ke us kshan tak main bahut prasann tha ab ji ko chain nahin akhir kisne apna paran bhara awsad mere man ke man mein bhar diya?
kisi ki pratiksha mujhe nahin thi apna koi abhaw mujh par nahin hawi tha main tha nishchint; kahun chinta ki chinta se bilkul anjan tha lekin anjana awsad kisi ka uDkar mere ur ki komal tahni par aa baitha
duniya ke kisi chhor par rahne wale o jiwadhari, tum kuch ho, koi ho, koi bhi parani ho, sthalchar, jalchar, nabhchar koi bhi—apni anjani sanwednayen bhejkar tumne upkar kiya main in awarton mein bandha hua aaj kahan hoon, apne logon ka hoon, apni duniya ka hoon aaj main tumhara hoon bilkul tumhara hoon, kewal tumhara hoon, kahin raho, koi ho

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।