जैसे मौसम पहनता है पृथ्वी
उसकी प्रकृति को पहनना था उसे
देर रात वह अपनी साड़ी
उतार तह बनाती है
उसे छूती है सहलाती है
देर रात वह अपना शृंगार
उतारती है जो किया गया था
जा चुके पल और प्यार के लिए
देर रात वह आईने में
शक्ल देखती है
ख़ाली, थकी और अपरिचित
घुप होता चुप उसका
चेहरा टटोलता है
बीच में कई बार
देर रात वह उस लंबे दिन
को फिर से पलटती है और
उसकी जघन्यता पर
चकित होती है
देर रात वह
पलंग के किनारे बैठ कर
हथेलियों में चेहरा लिए
घुटनों पर कुहनियाँ टिका
बहुत देर बैठी रहती है
शरीर से ज़्यादा आत्मा पर दर्ज
हुए उन हरे होते ज़ख़्मों पर
देर रात फाहा रखती है
देर रात वह सबको माफ़
करती है ईश्वर को भी
पलंग की बग़ल की मेज़ पर
पानी का गिलास रख
देर रात वह बत्ती बुझाती है
जघन्यताओं और पहचान के बाहर
बहुत देर रात तक अँधेरे अकेले
में बची हुई साँस लेती है।
jaise mausam pahanta hai prithwi
uski prakrti ko pahanna tha use
der raat wo apni saDi
utar tah banati hai
use chhuti hai sahlati hai
der raat wo apna shringar
utarti hai jo kiya gaya tha
ja chuke pal aur pyar ke liye
der raat wo aine mein
shakl dekhti hai
khali, thaki aur aprichit
ghup hota chup uska
chehra tatolta hai
beech mein kai bar
der raat wo us lambe din
ko phir se palatti hai aur
uski jaghanyta par
chakit hoti hai
der raat wo
palang ke kinare baith kar
hatheliyon mein chehra liye
ghutnon par kuhaniyan tika
bahut der baithi rahti hai
sharir se zyada aatma par darj
hue un hare hote zakhmon par
der raat phaha rakhti hai
der raat wo sabko maf
karti hai ishwar ko bhi
palang ki baghal ki mez par
pani ka gilas rakh
der raat wo batti bujhati hai
jaghanytaon aur pahchan ke bahar
bahut der raat tak andhere akele
mein bachi hui sans leti hai
jaise mausam pahanta hai prithwi
uski prakrti ko pahanna tha use
der raat wo apni saDi
utar tah banati hai
use chhuti hai sahlati hai
der raat wo apna shringar
utarti hai jo kiya gaya tha
ja chuke pal aur pyar ke liye
der raat wo aine mein
shakl dekhti hai
khali, thaki aur aprichit
ghup hota chup uska
chehra tatolta hai
beech mein kai bar
der raat wo us lambe din
ko phir se palatti hai aur
uski jaghanyta par
chakit hoti hai
der raat wo
palang ke kinare baith kar
hatheliyon mein chehra liye
ghutnon par kuhaniyan tika
bahut der baithi rahti hai
sharir se zyada aatma par darj
hue un hare hote zakhmon par
der raat phaha rakhti hai
der raat wo sabko maf
karti hai ishwar ko bhi
palang ki baghal ki mez par
pani ka gilas rakh
der raat wo batti bujhati hai
jaghanytaon aur pahchan ke bahar
bahut der raat tak andhere akele
mein bachi hui sans leti hai
स्रोत :
रचनाकार : निधीश त्यागी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.