एक न एक दिन हम मकान बनाते हैं
लेकिन यह मकान ढहाए जाने से ज़्यादा अलग नहीं
ज़्यादा अलग सिर्फ़ प्रेम होता है
ज़्यादा अलग भूख भी होती है
अंधकार ज़्यादा अलग नहीं होता
हम मिट्टी से ज़्यादा अलग नहीं
आग से, पानी से
उन हवादार कमरों से
जिनमें हमारी आवाज़ें टकराती हैं
विस्फुरण के लिए
हम अलग नहीं रोटी से
नमक और मृत्यु से भी अलग नहीं
शब्द और तस्वीरें भी स्मृति़याँ हैं हमारी
ज़्यादा अलग वह बाँस है जो अपनी
स्मृतिहीनता में
कभी बाँसु़री तो कभी मृत्यु शय्या के लिए
तैयार है चुपचाप
ज़्यादा अलग किताबें होती हैं
न चाहने के बावजूद दख़ल देती हैं
नींद भरी रातों में
एक सपना जो चित्रपट पर बिखर जाता है
हम ज़्यादा उसके बाहर नहीं।
ek na ek din hum makan banate hain
lekin ye makan Dhahaye jane se zyada alag nahin
zyada alag sirf prem hota hai
zyada alag bhookh bhi hoti hai
andhkar zyada alag nahin hota
hum mitti se zyada alag nahin
ag se, pani se
un hawadar kamron se
jinmen hamari awazen takrati hain
wisphurn ke liye
hum alag nahin roti se
namak aur mirtyu se bhi alag nahin
shabd aur taswiren bhi smritiyan hain hamari
zyada alag wo bans hai jo apni
smritihinta mein
kabhi bansuri to kabhi mirtyu shayya ke liye
taiyar hai chupchap
zyada alag kitaben hoti hain
na chahne ke bawjud dakhal deti hain
neend bhari raton mein
ek sapna jo chitrapat par bikhar jata hai
hum zyada uske bahar nahin
ek na ek din hum makan banate hain
lekin ye makan Dhahaye jane se zyada alag nahin
zyada alag sirf prem hota hai
zyada alag bhookh bhi hoti hai
andhkar zyada alag nahin hota
hum mitti se zyada alag nahin
ag se, pani se
un hawadar kamron se
jinmen hamari awazen takrati hain
wisphurn ke liye
hum alag nahin roti se
namak aur mirtyu se bhi alag nahin
shabd aur taswiren bhi smritiyan hain hamari
zyada alag wo bans hai jo apni
smritihinta mein
kabhi bansuri to kabhi mirtyu shayya ke liye
taiyar hai chupchap
zyada alag kitaben hoti hain
na chahne ke bawjud dakhal deti hain
neend bhari raton mein
ek sapna jo chitrapat par bikhar jata hai
hum zyada uske bahar nahin
स्रोत :
रचनाकार : नीलोत्पल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.