ओ मेरे घर
ओ हे मेरी पृथ्वी
साँस के एवज़ तूने क्या दिया मुझे
—ओ मेरी माँ?
तूने युद्ध ही मुझे दिया
प्रेम ही मुझे दिया क्रूरतम कटुतम
और क्या दिया
मुझे भगवान दिए कई-कई
मुझसे भी निरीह मुझसे भी निरीह!
और अद्भुत शक्तिशाली मकानीकी प्रतिमाएँ!
ऐसी मुझे ज़िंदगी दी
ओह
आँखें दीं जो गीली मिट्टी का बुदबुद-सी हैं
और तारे दिए मुझे अनगिनती
साँसों की तरह
अनगिनती इकाइयों में
मुझसे लगातार दूर जाते
मौत की व्यर्थ प्रतीक्षाओं-से!
और दी मुझे एक लंबे नाटक की
हँसी
फैली हुई
दर्शकशाला के इस छोर से उस छोर तक
लहराती कटु-क्रूर।
फिर मुझे जागना दिया, यह कहकर कि
लो और सोओ!
और वही तलवारें अँधेरे की
अंतिम लोरियों के बजाय!
इंसान के अँखौटे में डालकर मुझे
सब कुछ तो दे दिया :
जब मुझे मेरे कवि का बीज दिया कटु-तिक्त।
फिर एक ही जन्म में और क्या-क्या
चाहिए!
o mere ghar
o he meri prithwi
sans ke ewaz tune kya diya mujhe
—o meri man?
tune yudh hi mujhe diya
prem hi mujhe diya krurtam katutam
aur kya diya
mujhe bhagwan diye kai kai
mujhse bhi nirih mujhse bhi nirih!
aur adbhut shaktishali makaniki pratimayen!
aisi mujhe zindagi di
oh
ankhen deen jo gili mitti ka budbud si hain
aur tare diye mujhe anaginti
sanson ki tarah
anaginti ikaiyon mein
mujhse lagatar door jate
maut ki byarth prtikshaon se!
aur di mujhe ek lambe natk ki
hansi
phaili hui
darshakshala ke is chhor se us chhor tak
lahrati katu kroor
phir mujhe jagna diya, ye kahkar ki
lo aur soo!
aur wahi talwaren andhere ki
antim loriyon ke bajay!
insan ke ankhaute mein Dalkar mujhe
sab kuch to de diya ha
jab mujhe mere kawi ka beej diya katu tikt
phir ek hi janm mein aur kya kya
chahiye!
o mere ghar
o he meri prithwi
sans ke ewaz tune kya diya mujhe
—o meri man?
tune yudh hi mujhe diya
prem hi mujhe diya krurtam katutam
aur kya diya
mujhe bhagwan diye kai kai
mujhse bhi nirih mujhse bhi nirih!
aur adbhut shaktishali makaniki pratimayen!
aisi mujhe zindagi di
oh
ankhen deen jo gili mitti ka budbud si hain
aur tare diye mujhe anaginti
sanson ki tarah
anaginti ikaiyon mein
mujhse lagatar door jate
maut ki byarth prtikshaon se!
aur di mujhe ek lambe natk ki
hansi
phaili hui
darshakshala ke is chhor se us chhor tak
lahrati katu kroor
phir mujhe jagna diya, ye kahkar ki
lo aur soo!
aur wahi talwaren andhere ki
antim loriyon ke bajay!
insan ke ankhaute mein Dalkar mujhe
sab kuch to de diya ha
jab mujhe mere kawi ka beej diya katu tikt
phir ek hi janm mein aur kya kya
chahiye!
स्रोत :
पुस्तक : टूटी हुई, बिखरी हुई (पृष्ठ 97)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : शमशेर बहादुर सिंह
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.