चट्टान को तोड़ो
वह सुंदर हो जाएगी
उसे और तोड़ो
वह और, और सुंदर होती जाएगी
अब उसे उठाओ
रख लो कंधे पर
ले जाओ किसी शहर या क़स्बे में
डाल दो किसी चौराहे पर
तेज़ धूप में तपने दो उसे
जब बच्चे आएँगे
उसमें अपने चेहरे तलाश करेंगे
अब उसे फिर से उठाओ
अबकी ले जाओ किसी नदी या समुद्र के किनारे
छोड़ दो पानी में
उस पर लिख दो वह नाम
जो तुम्हारे अंदर गूँज रहा है
वह नाव बन जाएगी
अब उसे फिर से तोड़ो
फिर से उसी जगह खड़ा करो चट्टान को
उसे फिर से उठाओ
डाल दो किसी नींव में
किसी टूटी हुई पुलिया के नीचे
टिका दो उसे
उसे रख दो किसी थके हुए आदमी के सिरहाने
अब लौट आओ
तुमने अपना काम पूरा कर लिया है
अगर कंधे दुख रहे हों
कोई बात नहीं
यक़ीन करो कंधों पर
कंधों के दुखने पर यक़ीन करो
यक़ीन करो
और खोज लाओ
कोई नई चट्टान!
chattan ko toDo
wo sundar ho jayegi
use aur toDo
wo aur, aur sundar hoti jayegi
ab use uthao
rakh lo kandhe par
le jao kisi shahr ya qasbe mein
Dal do kisi chaurahe par
tez dhoop mein tapne do use
jab bachche ayenge
usmen apne chehre talash karenge
ab use phir se uthao
abki le jao kisi nadi ya samudr ke kinare
chhoD do pani mein
us par likh do wo nam
jo tumhare andar goonj raha hai
wo naw ban jayegi
ab use phir se toDo
phir se usi jagah khaDa karo chattan ko
use phir se uthao
Dal do kisi neenw mein
kisi tuti hui puliya ke niche
tika do use
use rakh do kisi thake hue adami ke sirhane
ab laut aao
tumne apna kaam pura kar liya hai
agar kandhe dukh rahe hon
koi baat nahin
yaqin karo kandhon par
kandhon ke dukhne par yaqin karo
yaqin karo
aur khoj lao
koi nai chattan!
chattan ko toDo
wo sundar ho jayegi
use aur toDo
wo aur, aur sundar hoti jayegi
ab use uthao
rakh lo kandhe par
le jao kisi shahr ya qasbe mein
Dal do kisi chaurahe par
tez dhoop mein tapne do use
jab bachche ayenge
usmen apne chehre talash karenge
ab use phir se uthao
abki le jao kisi nadi ya samudr ke kinare
chhoD do pani mein
us par likh do wo nam
jo tumhare andar goonj raha hai
wo naw ban jayegi
ab use phir se toDo
phir se usi jagah khaDa karo chattan ko
use phir se uthao
Dal do kisi neenw mein
kisi tuti hui puliya ke niche
tika do use
use rakh do kisi thake hue adami ke sirhane
ab laut aao
tumne apna kaam pura kar liya hai
agar kandhe dukh rahe hon
koi baat nahin
yaqin karo kandhon par
kandhon ke dukhne par yaqin karo
yaqin karo
aur khoj lao
koi nai chattan!
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 115)
संपादक : परमानंद श्रीवास्तव
रचनाकार : केदारनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.