बाहर भले ही ठंड है
सर्दियों की बारिश फिर भी जल रहे माथे पर रखी ठंडे पानी की पट्टी है,
इस बारिश में भीगने से ज़ुकाम हो जाने का डर आधा सच्चा और आधा झूठा है।
उस भीगे हुए को मैंने सड़क पार करते हुए देखा,
बारिश की गोद से उचक-उचक जाते हुए देखा,
जब उसे कोई नहीं देख रहा था
उसे अपने आप को गुदगुदाते हुए देखा।
बारिश की आवाज़ में वह ख़लल नहीं डालता,
बाहर अगर बारिश हो
तो पायदान से पैर रगड़ कर
पाँव में लगी बारिश और मिट्टी को झाड़ कर
दबे पाँव कोमल क़दमों से वह अपने घर में घुसता है।
भीगा हुआ
पर अंदर से ख़ुश
जैसे कोई धन लेकर घर लौटता है।
मैंने देखा उसे
लौट कर घर वालों से बात करते हुए,
बारिश में सड़क पार करने की बात को
रोज़नामचे से काटते हुए
निजी और सार्वजनिक राय को अलग करके
बारिश के सुख को राज़ की तरह छुपाते हुए,
तौलिए से बालों को पोंछता
वह सभी को बताता है
आज बहुत बारिश थी,
सड़कें कितनी गीली
रास्ते फिसलन भरे
पर वह सही सलामत घर पहुँच कर बहुत ख़ुश है।
bahar bhale hi thanD hai
sardiyon ki barish phir bhi jal rahe mathe par rakhi thanDe pani ki patti hai,
is barish mein bhigne se zukam ho jane ka Dar aadha sachcha aur aadha jhutha hai
us bhige hue ko mainne saDak par karte hue dekha,
barish ki god se uchak uchak jate hue dekha,
jab use koi nahin dekh raha tha
use apne aap ko gudgudate hue dekha
barish ki awaz mein wo khalal nahin Dalta,
bahar agar barish ho
to payadan se pair ragaD kar
panw mein lagi barish aur mitti ko jhaD kar
dabe panw komal qadmon se wo apne ghar mein ghusta hai
bhiga hua
par andar se khush
jaise koi dhan lekar ghar lautta hai
mainne dekha use
laut kar ghar walon se baat karte hue,
barish mein saDak par karne ki baat ko
roznamche se katte hue
niji aur sarwajnik ray ko alag karke
barish ke sukh ko raaz ki tarah chhupate hue,
tauliye se balon ko ponchhta
wo sabhi ko batata hai
aj bahut barish thi,
saDken kitni gili
raste phislan bhare
par wo sahi salamat ghar pahunch kar bahut khush hai

स्रोत :
पुस्तक : आश्चर्यवत् (पृष्ठ 49)
रचनाकार : मोनिका कुमार
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.