सबको अपना संगीत अच्छा लगता है
लुहार को निहाई पर हथौड़े की धमक
तो बढ़ई को अपने रंदे की खरर-खरर
सुनार को धौंकनी की फर-फर-फर
और जब ठठेरा लगातार ठोकता है
तो सारे साज़ शांत हो जाते हैं
पिंजारा अपनी वीणा से ब्रह्मनाद के नोम-तोम की रचना करता है
प्रकाश की धुन के आगे झूठे प्रायश्चित का मंत्र कँपकँपाने लगता है
नंगे पाँव स्कूल जाती बच्चियों की पदचाप
आश्वस्त करती है कि भविष्य एक कारीगर है
ठोंकता है ईंट पर ईंट और कनसुरे को दबाता है वज़न से
ड्राइवर बस में आलाप भरता है
सवारियाँ एक-एक कर आरोहित होती हैं
हैंडपंप की ताल पर बाल्टियाँ घड़े पीपे सरकते हैं
रसोई में बेलन की टेक कहती है कहीं चले मत जाना
प्रतीक्षा की एक बंदिश है साइकिल में
वह लौटेगा अपना बस्ता टाँकेगा
देरी से आने वालों का तो एक भरा-पूरा संगीतबद्ध घराना है
उन्हें सुनकर मैं सबकुछ भूल जाता हूँ कुछ भी नहीं कहता
sabko apna sangit achchha lagta hai
luhar ko nihai par hathauDe ki dhamak
to baDhai ko apne rande ki kharar kharar
sunar ko dhaunkni ki far far far
aur jab thathera lagatar thokta hai
to sare saz shant ho jate hain
pinjara apni wina se brahmnad ke nom tom ki rachna karta hai
parkash ki dhun ke aage jhuthe prayashchit ka mantr kanpknpane lagta hai
nange panw school jati bachchiyon ki padchap
ashwast karti hai ki bhawishya ek karigar hai
thonkta hai int par int aur kanasure ko dabata hai wazan se
Draiwar bus mein alap bharta hai
swariyan ek ek kar arohit hoti hain
hainDpanp ki tal par baltiyan ghaDe pipe sarakte hain
rasoi mein belan ki tek kahti hai kahin chale mat jana
pratiksha ki ek bandish hai cycle mein
wo lautega apna basta tankega
deri se aane walon ka to ek bhara pura sangitbaddh gharana hai
unhen sunkar main sabkuchh bhool jata hoon kuch bhi nahin kahta

स्रोत :
पुस्तक : आशा नाम नदी (पृष्ठ 27)
रचनाकार : ऋतुराज
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.