इस दूर तक पसरे बीहड़ में
रह-रह कर मेरी नदी उग आती है
तुमने नहीं देखा होगा
नमी से अघाई हवा का
बरसाती संवाद
बारिश नहीं लाता
उसके अघाएपन में
ऐंठी हुई मिठास होती है
अब तक जो चला हूँ
अपने भीतर ही चला हूँ
मीलों के छाले मेरे तलवों
मेरी जीभ पर भी हैं
मेरी चोटों का हिसाब
तुम्हारी अनगिनत जय कथाओं में जुड़ता होगा
इस यात्रा में लेकिन ये नक़्शे हैं मेरी ख़ातिर
उन गुफाओं तक जहाँ से निकला था मैं
इन छालों पर
मेरी शोध के निशान हैं
धूल हैं तुम्हारी यात्राओं की इनमें
सुख के दिनों में ढहने की
दास्तान है
जब पहुँचूँगा
ख़ुद को लौटा हुआ पाऊँगा
सब कुछ गिरा कर
लौटना किसी पेड़ का
अपने बीज में
पलायन नहीं
यह अजेय साहस है
पतन के विरुद्ध।
is door tak pasre bihaD mein
rah rah kar meri nadi ug aati hai
tumne nahin dekha hoga
nami se aghai hawa ka
barsati sanwad
barish nahin lata
uske aghayepan mein
ainthi hui mithas hoti hai
ab tak jo chala hoon
apne bhitar hi chala hoon
milon ke chhale mere talwon
meri jeebh par bhi hain
meri choton ka hisab
tumhari anaginat jay kathaon mein juDta hoga
is yatra mein lekin ye naqshe hain meri khatir
un guphaon tak jahan se nikla tha main
in chhalon par
meri shodh ke nishan hain
dhool hain tumhari yatraon ki inmen
sukh ke dinon mein Dhahne ki
dastan hai
jab pahunchunga
khu ko lauta hua paunga
sab kuch gira kar
lautna kisi peD ka
apne beej mein
palayan nahin
ye ajey sahas hai
patan ke wiruddh
is door tak pasre bihaD mein
rah rah kar meri nadi ug aati hai
tumne nahin dekha hoga
nami se aghai hawa ka
barsati sanwad
barish nahin lata
uske aghayepan mein
ainthi hui mithas hoti hai
ab tak jo chala hoon
apne bhitar hi chala hoon
milon ke chhale mere talwon
meri jeebh par bhi hain
meri choton ka hisab
tumhari anaginat jay kathaon mein juDta hoga
is yatra mein lekin ye naqshe hain meri khatir
un guphaon tak jahan se nikla tha main
in chhalon par
meri shodh ke nishan hain
dhool hain tumhari yatraon ki inmen
sukh ke dinon mein Dhahne ki
dastan hai
jab pahunchunga
khu ko lauta hua paunga
sab kuch gira kar
lautna kisi peD ka
apne beej mein
palayan nahin
ye ajey sahas hai
patan ke wiruddh
स्रोत :
रचनाकार : तुषार धवल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.