रात में कभी-कभी
बाँसुरी बजती है
चंद्रमा की नाभि से झरता है
अजस्र जीवन-रस
और
ठीक उसी समय
छतों पर टहलती हैं
कुछ परछाइयाँ
एक-दूसरे से बिल्कुल विलग
विकल
सकल जड़-जंगम से लोहा लेती हुई
बादलों के इक्का-दुक्का पोरों से
एकाएक उठती है
केसरबाई की तान
भिगो देती है अंधकार की चादर
मालूम नहीं कहाँ हो रहा है यह रास
भीतर या बाहर
बाहर या भीतर
या समस्त ब्रह्मांड में
सुर-संगत रागविद्या संगीत प्रमाण
चीते की चीत्कार जैसी तान की छलाँग
राग-रहस्य की ढीली लाँग
गहन-गह्वर में सबसे इतर
इतराई हुई
धुरी यही है जीवन की
यही बाँसुरी है
जो
जब बजती है तो
चंद्रमा की नाभि से
तिलक कामोद झरता है
raat mein kabhi kabhi
bansuri bajti hai
chandrma ki nabhi se jharta hai
ajasr jiwan ras
aur
theek usi samay
chhaton par tahalti hain
kuch parchhaiyan
ek dusre se bilkul wilag
wikal
sakal jaD jangam se loha leti hui
badlon ke ikka dukka poron se
ekayek uthti hai
kesarbai ki tan
bhigo deti hai andhkar ki chadar
malum nahin kahan ho raha hai ye ras
bhitar ya bahar
bahar ya bhitar
ya samast brahmanD mein
sur sangat ragwidya sangit praman
chite ki chitkar jaisi tan ki chhalang
rag rahasy ki Dhili lang
gahan gahwar mein sabse itar
itrai hui
dhuri yahi hai jiwan ki
yahi bansuri hai
jo
jab bajti hai to
chandrma ki nabhi se
tilak kamod jharta hai
raat mein kabhi kabhi
bansuri bajti hai
chandrma ki nabhi se jharta hai
ajasr jiwan ras
aur
theek usi samay
chhaton par tahalti hain
kuch parchhaiyan
ek dusre se bilkul wilag
wikal
sakal jaD jangam se loha leti hui
badlon ke ikka dukka poron se
ekayek uthti hai
kesarbai ki tan
bhigo deti hai andhkar ki chadar
malum nahin kahan ho raha hai ye ras
bhitar ya bahar
bahar ya bhitar
ya samast brahmanD mein
sur sangat ragwidya sangit praman
chite ki chitkar jaisi tan ki chhalang
rag rahasy ki Dhili lang
gahan gahwar mein sabse itar
itrai hui
dhuri yahi hai jiwan ki
yahi bansuri hai
jo
jab bajti hai to
chandrma ki nabhi se
tilak kamod jharta hai
स्रोत :
रचनाकार : कुलदीप कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.