वे हर जगह नहीं थे
हर जगह हम थे
उन्हें हर जगह समझते हुए
कुछ काटते हुए हर बार जो लाल रंग-सा उभर आता है
वे चाहकर भी इसे किसी कमज़ोरी से नहीं जोड़ पाते
ऐसा करना पेशेवर नहीं है
भ्रूण से देह में विकसित होते ही
वे समाज के विपरीत एक तत्त्व बनते गए
तमाम और भी ख़तरे थे जिन्हें वे उठा सकते थे
लेकिन हर बार यहाँ-वहाँ उभर आने वाला लाल रंग...
वे बहुत दुबले हैं
थोड़ा दूर से देखने पर
वे पिघलते हुए नज़र आते हैं
क़रीब जाकर देखने पर
वहाँ धुआँ नज़र आता है
ऐसा माना जाता है कि
उनका माचिस माँगना ख़तरनाक हो सकता है
वे बुझे-बुझे से नज़र आते हैं
वे ग़लत थे
और अपने ग़लत होने को देख नहीं पा रहे थे
ये क्रियाएँ बहुत पुरानी-सी हैं
वे काले हैं जेब के अँधेरे की तरह
और बदशक्ल हाथ-दर-हाथ बदलते रहने वाले नोट की तरह
वे ख़ाली हैं ख़ालीपन से बेतरह नफ़रत करते हुए
बेहद तेज़ भर रहे सफ़र में वे अवरोधकों की तरह हैं
एक अवांछित स्पर्श चाहते हुए
भीड़ उन्हें आकर्षित करती है और मार उन्हें अनुकूलित
यक़ीन के नज़दीक वे एक ब्लेड की तरह हैं
वे इस किरदार का बदल ढूँढ़ा करते हैं
तमाम और भी ख़तरे हैं जिन्हें वे उठा सकते हैं
लेकिन पैसे के लिए पेशे नहीं बदलते रहते वे
ऐसा करना पेशेवर नहीं है
और फिर बार-बार यहाँ-वहाँ उभर आने वाला लाल रंग...
वे नामालूम कब से इस तरह चढ़ रहे हैं
जैसे उतर रहे हों
दो पलास्टर चढ़े पैरों और एक चीख़ के साथ
वे कभी भी गिर सकते हैं
we har jagah nahin the
har jagah hum the
unhen har jagah samajhte hue
kuch katte hue har bar jo lal rang sa ubhar aata hai
we chahkar bhi ise kisi kamzori se nahin joD pate
aisa karna peshewar nahin hai
bhroon se deh mein wiksit hote hi
we samaj ke wiprit ek tattw bante gaye
tamam aur bhi khatre the jinhen we utha sakte the
lekin har bar yahan wahan ubhar aane wala lal rang
we bahut duble hain
thoDa door se dekhne par
we pighalte hue nazar aate hain
qarib jakar dekhne par
wahan dhuan nazar aata hai
aisa mana jata hai ki
unka machis mangna khatarnak ho sakta hai
we bujhe bujhe se nazar aate hain
we ghalat the
aur apne ghalat hone ko dekh nahin pa rahe the
ye kriyayen bahut purani si hain
we kale hain jeb ke andhere ki tarah
aur badshakl hath dar hath badalte rahne wale not ki tarah
we khali hain khalipan se betarah nafar karte hue
behad tez bhar rahe safar mein we awrodhkon ki tarah hain
ek awanchhit sparsh chahte hue
bheeD unhen akarshait karti hai aur mar unhen anukulit
yaqin ke nazdik we ek blade ki tarah hain
we is kirdar ka badal DhunDha karte hain
tamam aur bhi khatre hain jinhen we utha sakte hain
lekin paise ke liye peshe nahin badalte rahte we
aisa karna peshewar nahin hai
aur phir bar bar yahan wahan ubhar aane wala lal rang
we namalum kab se is tarah chaDh rahe hain
jaise utar rahe hon
do palastar chaDhe pairon aur ek cheekh ke sath
we kabhi bhi gir sakte hain

स्रोत :
रचनाकार : अविनाश मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.