साहब की मेम को देखा तो लगा
कि ये जगने से लेकर सोने तक एक अलग तरह की ठसक में रहती हैं
मैंने ठसक में साहब के कुत्ते को भी देखा
ठसक में जब भी देखा था
मंत्रियों को देखा था
और उनके संतरियों को ही देखा था
ठसक में कभी देखा था तो पदाधिकारियों को देखा था
और उनके वाहन के चालक को देखा था
किसी दफ़्तर के बड़का बाबू को जब भी देखा
हमेशा एक ठसक में ही देखा
और उस दफ़्तर के चपरासी को भी
किसी पत्रकार को जब कहीं जहाँ भी देखा
बड़े ठसक में ही देखा
एक दरोग़ा की ठसक का तो कहना ही क्या
सिपाही को भी इतने ठसक में देखा कि देखकर डर गया
मैंने मंदिर के पुजारी को देखा
और जंतर-मंतर करने वालों को भी
रेलवे स्टेशन पर कुली को देखा और खोमचे वाले को
मैंने गैस के वेंडर को भी देखा और दूधवाले को भी
ज़मींदार तो ख़ैर पैदाइशी ठसकवाले ही होते हैं
शहर को जब भी देखा था
ठसक में ही देखा था
कभी-कभी किसी गाँव को भी
कुछ देर के लिए ठसक में देखने का मौक़ा मिला है मुझे
किसान-मजूर का मुझे पता नहीं
उन्हें कम ही देखा
लेकिन ठसक में कभी नहीं देखा!
sahab ki mem ko dekha to laga
ki ye jagne se lekar sone tak ek alag tarah ki thasak mein rahti hain
mainne thasak mein sahab ke kutte ko bhi dekha
thasak mein jab bhi dekha tha
mantriyon ko dekha tha
aur unke santariyon ko hi dekha tha
thasak mein kabhi dekha tha to padadhikariyon ko dekha tha
aur unke wahan ke chalak ko dekha tha
kisi daftar ke baDaka babu ko jab bhi dekha
hamesha ek thasak mein hi dekha
aur us daftar ke chaprasi ko bhi
kisi patrakar ko jab kahin jahan bhi dekha
baDe thasak mein hi dekha
ek darogha ki thasak ka to kahna hi kya
sipahi ko bhi itne thasak mein dekha ki dekhkar Dar gaya
mainne mandir ke pujari ko dekha
aur jantar mantar karne walon ko bhi
railway station par kuli ko dekha aur khomche wale ko
mainne gas ke wenDar ko bhi dekha aur dudhwale ko bhi
zamindar to khair paidaishi thasakwale hi hote hain
shahr ko jab bhi dekha tha
thasak mein hi dekha tha
kabhi kabhi kisi ganw ko bhi
kuch der ke liye thasak mein dekhne ka mauqa mila hai mujhe
kisan majur ka mujhe pata nahin
unhen kam hi dekha
lekin thasak mein kabhi nahin dekha!

स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश कुमार राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.