बर्तन-भाँडे
और चूल्हे चौके के बाद
एक थकी हुई स्त्री जब नींद के आग़ोश में होती है
दरवाज़े के पेट अचानक खुल जाते हैं
दिन भर जो हवा, आकाश
चंद्रमा और फूलों की गंध
यहाँ-वहाँ भटकते रहे थे
एक अपराध-भावना में घिरे घर में घुसते हैं
स्त्री के सिरहाने बैठे तमाम सितारे
एक दूसरे को इशारा कर
अपनी गपशप बंद कर देते हैं
पलंग के नीचे वहाँ एक बिछा हुआ समुद्र
पहले से अधिक करुण
ज़्यादा विकल
कहता है : तुम्हारे आँसुओं में
नमक मुझसे ज़्यादा है
दीवार घड़ी भी फुसफुसाती है
तुम निश्चिंत रहो स्त्री
मेरे भीतर अब समय नहीं
प्रेम है, सिर्फ़ प्रेम
दवा की शीशियाँ, पकड़े
कुर्सियाँ, चप्पल
नल, बल्टियाँ
कंघी
सबके सब रह-रहकर
पक्षियों की तरह उड़ान भरते रहते हैं
कमरे में रात भर
परंतु थकी हुई स्त्री शायद नींद में थी
शामिल नहीं होती इस सारे खेल में
वह मुस्कुराती है
स्वप्न में ही आहिस्ता से करवट बदल लेती है
नींद में वह कूछ बुदबुदा रही है
उसे समझ में न आने वाले शब्द
इस सारे जादू को छिन्न-भिन्न किए दे रहे हैं।
bartan bhanDe
aur chulhe chauke ke baad
ek thaki hui istri jab neend ke aghosh mein hoti hai
darwaze ke pet achanak khul jate hain
din bhar jo hawa, akash
chandrma aur phulon ki gandh
yahan wahan bhatakte rahe the
ek apradh bhawna mein ghire ghar mein ghuste hain
istri ke sirhane baithe tamam sitare
ek dusre ko ishara kar
apni gapshap band kar dete hain
palang ke niche wahan ek bichha hua samudr
pahle se adhik karun
zyada wikal
kahta hai ha tumhare ansuon mein
namak mujhse zyada hai
diwar ghaDi bhi phusaphusati hai
tum nishchint raho istri
mere bhitar ab samay nahin
prem hai, sirf prem
dawa ki shishiyan, pakDe
kursiyan, chappal
nal, baltiyan
kanghi
sabke sab rah rahkar
pakshiyon ki tarah uDan bharte rahte hain
kamre mein raat bhar
parantu thaki hui istri shayad neend mein thi
shamil nahin hoti is sare khel mein
wo muskurati hai
swapn mein hi ahista se karwat badal leti hai
neend mein wo koochh budbuda rahi hai
use samajh mein na aane wale shabd
is sare jadu ko chhinn bhinn kiye de rahe hain
bartan bhanDe
aur chulhe chauke ke baad
ek thaki hui istri jab neend ke aghosh mein hoti hai
darwaze ke pet achanak khul jate hain
din bhar jo hawa, akash
chandrma aur phulon ki gandh
yahan wahan bhatakte rahe the
ek apradh bhawna mein ghire ghar mein ghuste hain
istri ke sirhane baithe tamam sitare
ek dusre ko ishara kar
apni gapshap band kar dete hain
palang ke niche wahan ek bichha hua samudr
pahle se adhik karun
zyada wikal
kahta hai ha tumhare ansuon mein
namak mujhse zyada hai
diwar ghaDi bhi phusaphusati hai
tum nishchint raho istri
mere bhitar ab samay nahin
prem hai, sirf prem
dawa ki shishiyan, pakDe
kursiyan, chappal
nal, baltiyan
kanghi
sabke sab rah rahkar
pakshiyon ki tarah uDan bharte rahte hain
kamre mein raat bhar
parantu thaki hui istri shayad neend mein thi
shamil nahin hoti is sare khel mein
wo muskurati hai
swapn mein hi ahista se karwat badal leti hai
neend mein wo koochh budbuda rahi hai
use samajh mein na aane wale shabd
is sare jadu ko chhinn bhinn kiye de rahe hain
स्रोत :
पुस्तक : चाहे जिस शक्ल से (पृष्ठ 29)
रचनाकार : विजय कुमार
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.