पुरखों ने बतियाना बंद कर दिया है
वे बोलते हैं अब देह की भाषा में
थक बहादुर माझी
अपनी भाषा को बोलने वाले अंतिम व्यक्ति थे
थक बहादुर के साथ
दुनिया की एक भाषा भी चुपचाप चली गई
चला गया थोड़ा-सा पहाड़
थोड़ी-सी नदी
थोड़े-से नमक के साथ
चला गया जीवन का शोरगुल भी।
देखते-देखते
चली गई दुनिया के भूगोल से एक भाषा की आत्मा
चले गए पुरखे-पुरनिया
अब देह की भाषा भी चली गई उनके साथ
मैं भाषा की अदालत में खड़ा होकर
माफ़ी माँगता हूँ
किसी भाषा के प्रति श्रद्धांजलि व्यक्त करना
हमारे समय का सबसे बड़ा अपराध है।
purkhon ne batiyana band kar diya hai
we bolte hain ab deh ki bhasha mein
thak bahadur majhi
apni bhasha ko bolne wale antim wekti the
thak bahadur ke sath
duniya ki ek bhasha bhi chupchap chali gai
chala gaya thoDa sa pahaD
thoDi si nadi
thoDe se namak ke sath
chala gaya jiwan ka shorgul bhi
dekhte dekhte
chali gai duniya ke bhugol se ek bhasha ki aatma
chale gaye purkhe puraniya
ab deh ki bhasha bhi chali gai unke sath
main bhasha ki adalat mein khaDa hokar
mafi mangta hoon
kisi bhasha ke prati shraddhanjali wyakt karna
hamare samay ka sabse baDa apradh hai
purkhon ne batiyana band kar diya hai
we bolte hain ab deh ki bhasha mein
thak bahadur majhi
apni bhasha ko bolne wale antim wekti the
thak bahadur ke sath
duniya ki ek bhasha bhi chupchap chali gai
chala gaya thoDa sa pahaD
thoDi si nadi
thoDe se namak ke sath
chala gaya jiwan ka shorgul bhi
dekhte dekhte
chali gai duniya ke bhugol se ek bhasha ki aatma
chale gaye purkhe puraniya
ab deh ki bhasha bhi chali gai unke sath
main bhasha ki adalat mein khaDa hokar
mafi mangta hoon
kisi bhasha ke prati shraddhanjali wyakt karna
hamare samay ka sabse baDa apradh hai
स्रोत :
रचनाकार : प्रदीप त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.