तीन दिनों से लगातार बरसे हैं बादल
ननकू तीन दिनों से आग ताप रहा है
रधिया के चूल्हे के पीछे
तीन दिनों से हँडिया औंधी धरी है
तिलहन और कपास
बहुत ख़ामोश खड़े हैं
उनकी पत्ती के ध्वज आधे झुके हुए हैं
उनके फूलों के शव तैर रहे हैं तीन दिनों से।
भूखी बछिया खूँटे से ही टँगी हुई है
तीन दिनों से हर आहट पर
बैल खड़े हुंकार रहे हैं।
और बड़े दरवज्जे में
माचिस की तीली, बीड़ी के टोंटे
चिलम, चौपड़, हा... हा... ही... ही..., आल्हा
लगातार है तीन दिनों से।
और अचंभा
गोबर वाली के घर चूल्हा
तीन दिनों से जलता है
रोटी बनती है
बच्चे का भी पेट भरा है।
तीन दिनों से उसका ख़ाविंद
दारू पीता है, गाली देता है पटेल को
तीन दिनों से गोबर वाली
पटेल के घर ही सोती है।
teen dinon se lagatar barse hain badal
nanku teen dinon se aag tap raha hai
radhiya ke chulhe ke pichhe
teen dinon se hanDiya aundhi dhari hai
tilhan aur kapas
bahut khamosh khaDe hain
unki patti ke dhwaj aadhe jhuke hue hain
unke phulon ke shau tair rahe hain teen dinon se
bhukhi bachhiya khunte se hi tangi hui hai
teen dinon se har aahat par
bail khaDe hunkar rahe hain
aur baDe darwajje mein
machis ki tili, biDi ke tonte
chilam, chaupaD, ha ha hi hi , aalha
lagatar hai teen dinon se
aur achambha
gobar wali ke ghar chulha
teen dinon se jalta hai
roti banti hai
bachche ka bhi pet bhara hai
teen dinon se uska khawind
daru pita hai, gali deta hai patel ko
teen dinon se gobar wali
patel ke ghar hi soti hai
teen dinon se lagatar barse hain badal
nanku teen dinon se aag tap raha hai
radhiya ke chulhe ke pichhe
teen dinon se hanDiya aundhi dhari hai
tilhan aur kapas
bahut khamosh khaDe hain
unki patti ke dhwaj aadhe jhuke hue hain
unke phulon ke shau tair rahe hain teen dinon se
bhukhi bachhiya khunte se hi tangi hui hai
teen dinon se har aahat par
bail khaDe hunkar rahe hain
aur baDe darwajje mein
machis ki tili, biDi ke tonte
chilam, chaupaD, ha ha hi hi , aalha
lagatar hai teen dinon se
aur achambha
gobar wali ke ghar chulha
teen dinon se jalta hai
roti banti hai
bachche ka bhi pet bhara hai
teen dinon se uska khawind
daru pita hai, gali deta hai patel ko
teen dinon se gobar wali
patel ke ghar hi soti hai
स्रोत :
पुस्तक : तय तो यही हुआ था (पृष्ठ 57)
रचनाकार : शरद बिलौरे
प्रकाशन : परिमल प्रकाशन
संस्करण : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.