तस्वीरों में जितना दिखता है
उससे ज़्यादा रह जाता है बाहर
तस्वीरें कहाँ बताती हैं कि कभी भी
बदल सकती है तस्वीर
शहर में छले गए लाखों लोगों का
पैदल ही चल पड़ पड़ना गाँवों की ओर
तस्वीरों में दिखता है
पर कोई भी तस्वीर कहाँ बताती है
कि इतने सारे पाँव चाहें तो एक झटके में
रौंद सकते हैं शाही तख़्त को
रात-दिन चलते मज़दूरों के
चेहरों पर गहरी थकान
और रास्तों पर जगह-जगह मौत के निशान
तस्वीरों में दिखते हैं
पर कोई भी तस्वीर कहाँ बताती है
कि सारा दुख ग़ुस्से में बदल जाए
तो दरक सकते हैं बड़े से बड़े क़िले
तस्वीरें अधूरी रहती हैं हमेशा
जब कैमरे बंद रहते हैं
तब भी सूरज रुकता नहीं
जरा सोचो! उन तस्वीरों के बारे में
जो अब तक किसी फ़्रेम में नहीं आईं
आएँगी, कभी तो आएँगी
छल की छाती पर लाखों पाँवों के
समवेत धमक की तस्वीर
समूची तस्वीर बदल
जाने की तस्वीर
taswiron mein jitna dikhta hai
usse zyada rah jata hai bahar
taswiren kahan batati hain ki kabhi bhi
badal sakti hai taswir
shahr mein chhale gaye lakhon logon ka
paidal hi chal paD paDna ganwon ki or
taswiron mein dikhta hai
par koi bhi taswir kahan batati hai
ki itne sare panw chahen to ek jhatke mein
raund sakte hain shahi takht ko
raat din chalte mazduron ke
chehron par gahri thakan
aur raston par jagah jagah maut ke nishan
taswiron mein dikhte hain
par koi bhi taswir kahan batati hai
ki sara dukh ghusse mein badal jaye
to darak sakte hain baDe se baDe qile
taswiren adhuri rahti hain hamesha
jab camere band rahte hain
tab bhi suraj rukta nahin
jara socho! un taswiron ke bare mein
jo ab tak kisi frame mein nahin ain
ayengi, kabhi to ayengi
chhal ki chhati par lakhon panwon ke
samwet dhamak ki taswir
samuchi taswir badal
jane ki taswir
taswiron mein jitna dikhta hai
usse zyada rah jata hai bahar
taswiren kahan batati hain ki kabhi bhi
badal sakti hai taswir
shahr mein chhale gaye lakhon logon ka
paidal hi chal paD paDna ganwon ki or
taswiron mein dikhta hai
par koi bhi taswir kahan batati hai
ki itne sare panw chahen to ek jhatke mein
raund sakte hain shahi takht ko
raat din chalte mazduron ke
chehron par gahri thakan
aur raston par jagah jagah maut ke nishan
taswiron mein dikhte hain
par koi bhi taswir kahan batati hai
ki sara dukh ghusse mein badal jaye
to darak sakte hain baDe se baDe qile
taswiren adhuri rahti hain hamesha
jab camere band rahte hain
tab bhi suraj rukta nahin
jara socho! un taswiron ke bare mein
jo ab tak kisi frame mein nahin ain
ayengi, kabhi to ayengi
chhal ki chhati par lakhon panwon ke
samwet dhamak ki taswir
samuchi taswir badal
jane ki taswir
स्रोत :
रचनाकार : सुभाष राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.