गंदे फ़र्श, अस्त-व्यस्त बिस्तर, बिखरे कपड़े मैले
हत्थे-टूटे प्याले, मसले अख़बारों
तक़ाज़ों, इलाजों, और पार्कों में चरते गधों के बग़ल से ही निकालनी है
जाड़े के दिन आज ख़ूब घनी बदली है और आज ही इतवार है
किसी स्वप्न को देखती नहीं सोचती हुई आँखों में ग़ुबार है
दिल में नहीं
चार दोस्त बैठे हैं बुख़ार के इंतज़ार में
मुर्दनी है लिखी हुई कविता
जो छपी नहीं
छुरा भोंक कर एक गहरा ज़ख़्म करता हूँ रात
निकलती है कटी हुई फाँकों में एक-एक क़ैद
फाँद कर दीवार बाईस साल बाद टप् से गिरता है
पक कर भाषा की ज़मीन पर आतंक
चक्खेगा कौन इतराते हुए इरादों में?
निकालनी है जूते के तालू में गड़ी हुई कील मुँह में
दबी हुई चीख़ एक सूरत है कम-कम मरते हुए को मारने की
मेज़ के नीचे बढ़ी हुई मुट्ठी में कुछ धर आने की
कटी हुई जीभ को लेकर तमाशे में ग़ायब हो जाने की।
gande farsh, ast wyast bistar, bikhre kapDe maile
hatthe tute pyale, masle akhbaron
taqazon, ilajon, aur parkon mein charte gadhon ke baghal se hi nikalni hai
jaDe ke din aaj khoob ghani badli hai aur aaj hi itwar hai
kisi swapn ko dekhti nahin sochti hui ankhon mein ghubar hai
dil mein nahin
chaar dost baithe hain bukhar ke intzar mein
murdani hai likhi hui kawita
jo chhapi nahin
chhura bhonk kar ek gahra zakhm karta hoon raat
nikalti hai kati hui phankon mein ek ek qaid
phand kar diwar bais sal baad tap se girta hai
pak kar bhasha ki zamin par atank
chakkhega kaun itrate hue iradon mein?
nikalni hai jute ke talu mein gaDi hui keel munh mein
dabi hui cheekh ek surat hai kam kam marte hue ko marne ki
mez ke niche baDhi hui mutthi mein kuch dhar aane ki
kati hui jeebh ko lekar tamashe mein ghayab ho jane ki

स्रोत :
पुस्तक : ज़ख़्म पर धूल (पृष्ठ 35)
रचनाकार : मलयज
प्रकाशन : रचना प्रकाशन
संस्करण : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.