अब तारे जानने लगे हैं
तुम्हारी आँखों में अपनी जगह
और मछलियाँ उन्हें चुगने भटकती रहती हैं रात-भर
तुम धरती की आँखें हो
तुम देखते रहते हो आकाश
कि जैसे कभी न कभी उतरेगा मसीहा
और उसकी प्रतीक्षा में
सूखते, दरकते रहते हैं किनारे
लोग और पशु तुम्हें भरते रहते हैं
मैल और गंदगी से
तुम्हारी आँखें संसार से बाहर जाने की खिड़कियाँ हैं
जिनसे कोई-कोई चला जाता है चुपचाप
छपाक् से रात के चौथे पहर
तुमसे विसर्जित होती हैं आस्थाएँ
तुममें विसर्जित होती है बारिश
तुममें डूबती हैं इच्छाएँ, तारे तोड़ लाने की
रात के सन्नाटे में स्तब्ध हो रहा है तुम्हारा पृष्ठ
और बनैली आँखें चमकने लगी हैं किनारों पर
कपड़े पछींटती औरतों के सीत्कार
और ठकठक हो चुकी है शांत
पशुओं के साथ बच्चों की जलक्रीड़ा का शोर
अब थम चुका है
तुम में विसर्जित दीए अब बुझ चुके हैं
हालाँकि किनारे खड़े पेड़
पत्तियाँ फेंककर
तुम्हारी नींद जाँच रहे हैं
तुम्हें सो जाना चाहिए इस वक़्त
सो जाओ अपनी सीमाओं में निर्विघ्न
यह जानकर कि किनारे छोड़ रही है धरती
और चौथे पहर छलाँग लगाती कोई नव-वधू
अब ख़लल नहीं डालेगी तुम्हारी नींद में
सो जाओ कि थिर होकर तुम
आकाश का दर्पण बन चुके हो
सो जाओ, ख़ुद में दफ़न रहस्यों के साथ
तुम्हारी साँसों की धुँध
अब सतह पर छा रही है
और नींद में जाने से पहले
तुम्हारे लंबे हाथ
धीरे-धीरे डोंगियों को धकेल रहे हैं किनारे तक
किनारों पर जमा
झींगुर और मेढकों ने
शुरू कर दिया लोरी-संगीत
सो जा, कि इस वक़्त तू
लोगों की तृप्ति बनकर
बुन रहा है सपने, उनकी नींदों में
सो जा कि अभी-अभी ओस ने
डाल दी चादर
तुझमें ऊँघ रहे फूलों पर।
ab tare janne lage hain
tumhari ankhon mein apni jagah
aur machhliyan unhen chugne bhatakti rahti hain raat bhar
tum dharti ki ankhen ho
tum dekhte rahte ho akash
ki jaise kabhi na kabhi utrega masiha
aur uski pratiksha mein
sukhte, darakte rahte hain kinare
log aur pashu tumhein bharte rahte hain
mail aur gandgi se
tumhari ankhen sansar se bahar jane ki khiDkiyan hain
jinse koi koi chala jata hai chupchap
chhapak se raat ke chauthe pahar
tumse wisarjit hoti hain asthayen
tummen wisarjit hoti hai barish
tummen Dubti hain ichhayen, tare toD lane ki
raat ke sannate mein stabdh ho raha hai tumhara prishth
aur banaili ankhen chamakne lagi hain kinaron par
kapDe pachhintti aurton ke sitkar
aur thakthak ho chuki hai shant
pashuon ke sath bachchon ki jalakriDa ka shor
ab tham chuka hai
tum mein wisarjit diye ab bujh chuke hain
halanki kinare khaDe peD
pattiyan phenkkar
tumhari neend jaanch rahe hain
tumhein so jana chahiye is waqt
so jao apni simaon mein nirwighn
ye jankar ki kinare chhoD rahi hai dharti
aur chauthe pahar chhalang lagati koi naw wadhu
ab khalal nahin Dalegi tumhari neend mein
so jao ki thir hokar tum
akash ka darpan ban chuke ho
so jao, khu mein dafan rahasyon ke sath
tumhari sanson ki dhundh
ab satah par chha rahi hai
aur neend mein jane se pahle
tumhare lambe hath
dhire dhire Dongiyon ko dhakel rahe hain kinare tak
kinaron par jama
jhingur aur meDhkon ne
shuru kar diya lori sangit
so ja, ki is waqt tu
logon ki tripti bankar
bun raha hai sapne, unki nindon mein
so ja ki abhi abhi os ne
Dal di chadar
tujhmen ungh rahe phulon par
ab tare janne lage hain
tumhari ankhon mein apni jagah
aur machhliyan unhen chugne bhatakti rahti hain raat bhar
tum dharti ki ankhen ho
tum dekhte rahte ho akash
ki jaise kabhi na kabhi utrega masiha
aur uski pratiksha mein
sukhte, darakte rahte hain kinare
log aur pashu tumhein bharte rahte hain
mail aur gandgi se
tumhari ankhen sansar se bahar jane ki khiDkiyan hain
jinse koi koi chala jata hai chupchap
chhapak se raat ke chauthe pahar
tumse wisarjit hoti hain asthayen
tummen wisarjit hoti hai barish
tummen Dubti hain ichhayen, tare toD lane ki
raat ke sannate mein stabdh ho raha hai tumhara prishth
aur banaili ankhen chamakne lagi hain kinaron par
kapDe pachhintti aurton ke sitkar
aur thakthak ho chuki hai shant
pashuon ke sath bachchon ki jalakriDa ka shor
ab tham chuka hai
tum mein wisarjit diye ab bujh chuke hain
halanki kinare khaDe peD
pattiyan phenkkar
tumhari neend jaanch rahe hain
tumhein so jana chahiye is waqt
so jao apni simaon mein nirwighn
ye jankar ki kinare chhoD rahi hai dharti
aur chauthe pahar chhalang lagati koi naw wadhu
ab khalal nahin Dalegi tumhari neend mein
so jao ki thir hokar tum
akash ka darpan ban chuke ho
so jao, khu mein dafan rahasyon ke sath
tumhari sanson ki dhundh
ab satah par chha rahi hai
aur neend mein jane se pahle
tumhare lambe hath
dhire dhire Dongiyon ko dhakel rahe hain kinare tak
kinaron par jama
jhingur aur meDhkon ne
shuru kar diya lori sangit
so ja, ki is waqt tu
logon ki tripti bankar
bun raha hai sapne, unki nindon mein
so ja ki abhi abhi os ne
Dal di chadar
tujhmen ungh rahe phulon par
स्रोत :
पुस्तक : एक अनाम कवि की कविताएँ (पृष्ठ 142)
संपादक : दूधनाथ सिंह
रचनाकार : अनाम कवि
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.