रिश्ते
ताश के पत्तों की तरह बिखर गए हैं
समय के साथ ही
बदल जाती है रिश्तों की परिभाषा
रिश्तों के बीच की गरमाहट
जो कभी
धड़कन बन धड़कता था
बर्फ़ की मोटी चादर
बिछ गई है वहाँ
चेहरे जो दिखते हैं
वे होते नहीं
और जो होते हैं
वे दिखते नहीं
चाँद से धुले हुए चेहरे में भी
दाग़ नज़र आते हैं
काश कि
पैदा हो वह आग
जो पिघला दे
बर्फ़ की इन दीवारों को
दीवार जो दिलों के बीच खड़ी है
आकर ढहा दे कोई
यहाँ आसमान में
गहरी धुँध छाई रहती है
शहर तो शहर
अब गाँव भी
ताश के पत्तों की शक्ल ले चुके हैं।
rishte
taash ke patton ki tarah bikhar gaye hain
samay ke saath hi
badal jati hai rishton ki paribhasha
rishton ke beech ki garmahat
jo kabhi
dhaDkan ban dhaDakta tha
barf ki moti chadar
bichh gai hai vahan
chehre jo dikhte hain
wo hote nahin
aur jo hote hain
wo dikhte nahin
chaand se dhule hue chehre mein bhi
daagh nazar aate hain
kaash ki
paida ho wo aag
jo pighla de
barf ki in divaron ko
divar jo dilon ke beech khaDi hai
aakar Dhaha de koi
yahan asman men
gahri dhundh chhai rahti hai
shahr to shahr
ab gaanv bhi
taash ke patton ki shakl le chuke hain.
rishte
taash ke patton ki tarah bikhar gaye hain
samay ke saath hi
badal jati hai rishton ki paribhasha
rishton ke beech ki garmahat
jo kabhi
dhaDkan ban dhaDakta tha
barf ki moti chadar
bichh gai hai vahan
chehre jo dikhte hain
wo hote nahin
aur jo hote hain
wo dikhte nahin
chaand se dhule hue chehre mein bhi
daagh nazar aate hain
kaash ki
paida ho wo aag
jo pighla de
barf ki in divaron ko
divar jo dilon ke beech khaDi hai
aakar Dhaha de koi
yahan asman men
gahri dhundh chhai rahti hai
shahr to shahr
ab gaanv bhi
taash ke patton ki shakl le chuke hain.
स्रोत :
रचनाकार : वंदना पराशर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.