धूल भरा आँगन वापस आए
आँगन में मुनगे का पेड़ वापस आए
हम सब भाई-बहनों की
सात-आठ साल की
ख़ुश उम्र वापस आए
फूले गालों वाली छोटी-सी
बहिन वापस आए,
धूल भरे आँगन में चावल के दाने फेंके
जिससे आँगन में गौरैया वापस आए
माँ-बाप जिस उम्र में थे ख़ुश
वह उम्र आए
भूख न आए वापस
ठंड में सिर्फ़ सूती चादरें न आएँ
सिर्फ़ एक जोड़ी कपड़े न आएँ
पड़ोस की बिलखती रौताइन का
मरा बेटा वापस आए
अदालत का फ़ैसला
दोस्त के हक़ में आए
गाँव के सूखे तालाब में पानी आए
बिना बात हँसी आए
दुनिया में गौरैया वापस आए।
dhool bhara angan wapas aaye
angan mein munge ka peD wapas aaye
hum sab bhai bahnon ki
sat aath sal ki
khush umr wapas aaye
phule galon wali chhoti si
bahin wapas aaye,
dhool bhare angan mein chawal ke dane phenke
jisse angan mein gauraiya wapas aaye
man bap jis umr mein the khush
wo umr aaye
bhookh na aaye wapas
thanD mein sirf suti chadren na ayen
sirf ek joDi kapDe na ayen
paDos ki bilakhti rautain ka
mara beta wapas aaye
adalat ka faisla
dost ke haq mein aaye
ganw ke sukhe talab mein pani aaye
bina baat hansi aaye
duniya mein gauraiya wapas aaye
dhool bhara angan wapas aaye
angan mein munge ka peD wapas aaye
hum sab bhai bahnon ki
sat aath sal ki
khush umr wapas aaye
phule galon wali chhoti si
bahin wapas aaye,
dhool bhare angan mein chawal ke dane phenke
jisse angan mein gauraiya wapas aaye
man bap jis umr mein the khush
wo umr aaye
bhookh na aaye wapas
thanD mein sirf suti chadren na ayen
sirf ek joDi kapDe na ayen
paDos ki bilakhti rautain ka
mara beta wapas aaye
adalat ka faisla
dost ke haq mein aaye
ganw ke sukhe talab mein pani aaye
bina baat hansi aaye
duniya mein gauraiya wapas aaye
स्रोत :
रचनाकार : सिद्धार्थ बाजपेयी
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.