बहुत यात्राओं के बाद
पहुँचे थे पूर्वज
धूप के देश
हवा और पानी को
सरल करती
धूप थी जीवन की ऊष्मा
भाले की नोक पर चमकती
हतप्रभ हिरने के
हृदय के पार थी
हरे थे
धूप के खेत
युद्ध-भूमि पर
लाल रंग में
चिपचिपाती थी
राजमार्गों पर
सरपट दौड़ती थी
हाथ में थामे
दंतकथाओं की लगाम
यूँ सदियों तक
खारे हुए पूर्वज
धूप चाटती रही
शरीर का नमक
धूप का रंग बने
गर्दन पर टाँगे
परछाइयों का भार—
थक गए पूर्वज
चील के डैनों पर सवार
उड़ती रही धूप
bahut yatraon ke baad
pahunche the purwaj
dhoop ke desh
hawa aur pani ko
saral karti
dhoop thi jiwan ki ushma
bhale ki nok par chamakti
hataprabh hirne ke
hirdai ke par thi
hare the
dhoop ke khet
yudh bhumi par
lal rang mein
chipchipati thi
rajmargon par
sarpat dauDti thi
hath mein thame
dantakthaon ki lagam
yoon sadiyon tak
khare hue purwaj
dhoop chatti rahi
sharir ka namak
dhoop ka rang bane
gardan par tange
parchhaiyon ka bhaar—
thak gaye purwaj
cheel ke Dainon par sawar
uDti rahi dhoop
bahut yatraon ke baad
pahunche the purwaj
dhoop ke desh
hawa aur pani ko
saral karti
dhoop thi jiwan ki ushma
bhale ki nok par chamakti
hataprabh hirne ke
hirdai ke par thi
hare the
dhoop ke khet
yudh bhumi par
lal rang mein
chipchipati thi
rajmargon par
sarpat dauDti thi
hath mein thame
dantakthaon ki lagam
yoon sadiyon tak
khare hue purwaj
dhoop chatti rahi
sharir ka namak
dhoop ka rang bane
gardan par tange
parchhaiyon ka bhaar—
thak gaye purwaj
cheel ke Dainon par sawar
uDti rahi dhoop
स्रोत :
रचनाकार : सुमित त्रिपाठी
प्रकाशन : समकालीन भारतीय साहित्य
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.