खिड़कियों से आती धूप को
ग़ौर से देखो वसुधा
टाइपराइटर पर
तुम्हारी उँगलियों के अलावा
धूप भी गिर रही है
लगातार
तुम्हारे कंधों से फिसलती हुई
धूप पर नज़र रखो
कि वह प्रेमपत्र ही टाइप करने लगे
तो डाँट किसे पड़ेगी
वह नौकरी तो नहीं करती तुम्हारी तरह
वह तो छुप जाएगी अभी
आसमान में
भटकते बादल के किसी टुकड़े के पीछे
धूप पर नज़र रखो सिर्फ़
उससे बात नहीं करना
वह तुम्हारी सहेली नहीं
धूप है
धूप जाड़े की
आराम से पसरती हुई
केबिन में
छुट्टी का दिन होता
तो रजाई-गद्दे ही सुखा लेती
घर के
तुम्हारे इस काम हो जाते
इस धूप में
दफ़्तर का दिन है
तो धूप पर नज़र रखो सिर्फ़
धूप
तुम्हारे कंधों से
फिसलती हुई
टाइपराइटर पर
गिर रही है
लगातार...
khiDakiyon se aati dhoop ko
ghaur se dekho wasudha
taipraitar par
tumhari ungliyon ke alawa
dhoop bhi gir rahi hai
lagatar
tumhare kandhon se phisalti hui
dhoop par nazar rakho
ki wo prempatr hi type karne lage
to Dant kise paDegi
wo naukari to nahin karti tumhari tarah
wo to chhup jayegi abhi
asman mein
bhatakte badal ke kisi tukDe ke pichhe
dhoop par nazar rakho sirf
usse baat nahin karna
wo tumhari saheli nahin
dhoop hai
dhoop jaDe ki
aram se pasarti hui
kebin mein
chhutti ka din hota
to rajai gadde hi sukha leti
ghar ke
tumhare is kaam ho jate
is dhoop mein
daftar ka din hai
to dhoop par nazar rakho sirf
dhoop
tumhare kandhon se
phisalti hui
taipraitar par
gir rahi hai
lagatar
khiDakiyon se aati dhoop ko
ghaur se dekho wasudha
taipraitar par
tumhari ungliyon ke alawa
dhoop bhi gir rahi hai
lagatar
tumhare kandhon se phisalti hui
dhoop par nazar rakho
ki wo prempatr hi type karne lage
to Dant kise paDegi
wo naukari to nahin karti tumhari tarah
wo to chhup jayegi abhi
asman mein
bhatakte badal ke kisi tukDe ke pichhe
dhoop par nazar rakho sirf
usse baat nahin karna
wo tumhari saheli nahin
dhoop hai
dhoop jaDe ki
aram se pasarti hui
kebin mein
chhutti ka din hota
to rajai gadde hi sukha leti
ghar ke
tumhare is kaam ho jate
is dhoop mein
daftar ka din hai
to dhoop par nazar rakho sirf
dhoop
tumhare kandhon se
phisalti hui
taipraitar par
gir rahi hai
lagatar
स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 275 (पृष्ठ 22)
संपादक : भगवत रावत
रचनाकार : राजेंद्र शर्मा
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.