गाँव के इस आगल लगे सूने घर के रहने वाले
अब नहीं आएँगे
धूल आती है यहाँ और यहीं की होकर रह जाती है
दिन-ब-दिन और विशाल होते जाले हैं
हर दिन कुछ और ज़्यादा ढहते खिड़की के पल्ले
यहाँ जो सब कुछ सूखा हुआ है
और ज़्यादा सूख रहा है
छप्पर को थामे थी जो लकड़ियाँ गलकर सूख गई हैं
अब वे टूटेंगी नहीं
झरेंगी बेआवाज़
पानी का पीतल का लोटा
किसी गड़े हुए धन की तरह अनाथ पड़ा है
उसमें पड़ा ज्वार का कत्थई फूस
हवा से हिलता है
चूहों ने इसके आँगन को
किसी खलिहान की तरह खोद दिया है
झाड़ की बाड़ की चहारदीवारी थी इस घर की
जो कुछ हट गई कुछ उड़ गई कुछ रह गई है
बाड़ के इस बचे कुछे हिस्से के नीचे
एक सियार और सियारिन ने रहने की जगह देख ली है
इस घर से जंगल की ओर जाती थी एक पगडंडी
अब जंगल यहाँ आ गया है
गाँव में साँझ के समय
कहीं आस-पास ही सियारों का जो रोना सुनते हैं गाँव के लोग
रुदन का वह स्वर यहीं से उठता है
इस आँगन से धुआँ उठता था कभी
जो चाँदनी में देर तक दिखाई देता था
खेलते बच्चों की हँसी सुनाई देती थी
जो दूर तक पीछा करती थी
एक स्त्री के चलने-फिरने पर उसके कपड़ों से
उठती आवाज संगीत की तरह उभरती और मंद होती थी
गाँव के इस आगल लगे सूने घर के ये रहने वाले अब नहीं आएँगे
ganw ke is aagal lage sune ghar ke rahne wale
ab nahin ayenge
dhool aati hai yahan aur yahin ki hokar rah jati hai
din ba din aur wishal hote jale hain
har din kuch aur zyada Dhahte khiDki ke palle
yahan jo sab kuch sukha hua hai
aur zyada sookh raha hai
chhappar ko thame thi jo lakDiyan galkar sookh gai hain
ab we tutengi nahin
jharengi beawaz
pani ka pital ka lota
kisi gaDe hue dhan ki tarah anath paDa hai
usmen paDa jwar ka katthai phoos
hawa se hilta hai
chuhon ne iske angan ko
kisi khalihan ki tarah khod diya hai
jhaD ki baD ki chaharadiwari thi is ghar ki
jo kuch hat gai kuch uD gai kuch rah gai hai
baD ke is bache kuchhe hisse ke niche
ek siyar aur siyarin ne rahne ki jagah dekh li hai
is ghar se jangal ki or jati thi ek pagDanDi
ab jangal yahan aa gaya hai
ganw mein sanjh ke samay
kahin aas pas hi siyaron ka jo rona sunte hain ganw ke log
rudan ka wo swar yahin se uthta hai
is angan se dhuan uthta tha kabhi
jo chandni mein der tak dikhai deta tha
khelte bachchon ki hansi sunai deti thi
jo door tak pichha karti thi
ek istri ke chalne phirne par uske kapDon se
uthti awaj sangit ki tarah ubharti aur mand hoti thi
ganw ke is aagal lage sune ghar ke ye rahne wale ab nahin ayenge

स्रोत :
रचनाकार : प्रभात
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.