आकाश
अब हमारी संभावनाओं और कल्पनाओं से
दूर... दूर... चला गया है
हमारे सिरों पर
अब कहीं कोई छत नहीं है
छोटी और छोटी और छोटी
जिन सात कोठरियों के भीतर
हमने जो सुरक्षित समझा था
अपनापे का सुआ
दैत्य को उनकी चाबी मिल गई है
परंपरा से प्रवाहित
तृप्तिदायक नदियों का पानी
सूख गया है
जो बची हैं
उनका पानी ज़हरीला है
कछुए की तरह अंग समेटना
और डबरों में घुसना बेकार है
यह फैली हुई बालू
सूखी गर्म ही सही
इसी में ठोकर मार कर ही हमें
अपने लिए नई नदी खोदनी होगी
आकाश
अब हमारी संभावनाओं और कल्पनाओं से
दूर... दूर... चला गया है!
akash
ab hamari sambhawnaon aur kalpnaon se
door door chala gaya hai
hamare siron par
ab kahin koi chhat nahin hai
chhoti aur chhoti aur chhoti
jin sat kothariyon ke bhitar
hamne jo surakshait samjha tha
apnape ka sua
daity ko unki chabi mil gai hai
parampara se prwahit
triptidayak nadiyon ka pani
sookh gaya hai
jo bachi hain
unka pani zahrila hai
kachhue ki tarah ang sametna
aur Dabron mein ghusna bekar hai
ye phaili hui balu
sukhi garm hi sahi
isi mein thokar mar kar hi hamein
apne liye nai nadi khodni hogi
akash
ab hamari sambhawnaon aur kalpnaon se
door door chala gaya hai!
akash
ab hamari sambhawnaon aur kalpnaon se
door door chala gaya hai
hamare siron par
ab kahin koi chhat nahin hai
chhoti aur chhoti aur chhoti
jin sat kothariyon ke bhitar
hamne jo surakshait samjha tha
apnape ka sua
daity ko unki chabi mil gai hai
parampara se prwahit
triptidayak nadiyon ka pani
sookh gaya hai
jo bachi hain
unka pani zahrila hai
kachhue ki tarah ang sametna
aur Dabron mein ghusna bekar hai
ye phaili hui balu
sukhi garm hi sahi
isi mein thokar mar kar hi hamein
apne liye nai nadi khodni hogi
akash
ab hamari sambhawnaon aur kalpnaon se
door door chala gaya hai!
स्रोत :
पुस्तक : निषेध के बाद (पृष्ठ 63)
संपादक : दिविक रमेश
रचनाकार : मालती शर्मा
प्रकाशन : विक्रांत प्रेस
संस्करण : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.