घटाटोप अँधेरे से जूझती लालटेन
आजकल साँझ ढलते ही
सोने को विवश करती है।
करवटों पर करवटें,
आख़िर नींद भी कितनी आए
मानव परेशान हैं
वैसे सपने बेशुमार हैं
डुग्गर प्रदेश में मेरे गाँव
सेरी पंडितां
और
इंटरनेट के विश्वग्राम
के एक नगर
सान फ्रासिस्कों के मध्य
जो निकट संपर्क है
आना-जाना तो नहीं
पर मेल-मिलाप पूरा
संसार का कोई कोना
इस संपर्क से बाहर नहीं
बेशक
भूख, ग़रीबी,
लाचारी और बीमारी
दूर करने का
कोई साधन है या नहीं
पर आँकड़े पूरी तरह
तैयार-बर-तैयार
जहाँ-चाहो, जब चाहो
प्राप्त कर लो
रिश्ते
विचित्र अंर्तजाल की
मार झेलते
ख़ाली कनस्तर में पड़े मेंढ़क की तरह
तड़प रहे हैं
संपर्क पूरा है
आवाज़ और खनखनाहट के माध्यम से
न आने के लिए औंसियाँ हैं
और न जाने की पीड़ा है
दूरियाँ समीपता लेकर आई हैं
जबसे दिल पत्थर
और भावनाएँ मशीनी हैं
दूरी कितनी सुंदर होती है
और समीपता कितनी घटिया
एक बटन का अंतर
और समीपताएँ
यह मेरी पंडितां
और यह सान फ्रांसिस्को
धकधक होते
स्वप्न टूटते
निद्रा खुल जाती है
तब सुबह-सवेरे
सारी सूचना-क्रांति
पंचायत घर के पास
बिजली के जले ट्रांसफ़ार्मर तले
प्रतीक्षा करती दिखलाई देती है।
ghatatop andhere se jujhti lalten
ajkal sanjh Dhalte hi
sone ko wiwash karti hai
karawton par karawten,
akhir neend bhi kitni aaye
manaw pareshan hain
waise sapne beshumar hain
Duggar pardesh mein mere ganw
seri panDitan
aur
intarnet ke wishwagram
ke ek nagar
san phrasiskon ke madhya
jo nikat sampark hai
ana jana to nahin
par mel milap pura
sansar ka koi kona
is sampark se bahar nahin
par mel milap pura
sansar ka koi kona
is sampark se bahar nahin
beshak
bhookh, gharib,
lachari aur bimari
door karne ka
koi sadhan hai ya nahin
par ankaDe puri tarah
taiyar bar taiyar
jahan chaho, jab chaho
prapt kar lo
rishten
wichitr anrtjala ki
mar jhelte
khali kanastar mein paDe meinDhak ki tarah
taDap rahe hain
sampark pura hai
awaz aur khanakhnahat ke madhyam se
na aane ke liye aunsiyan hain
aur na jane ki piDa hai
duriyan samipata lekar i hain
jabse dil patthar
aur bhawnayen mashini hain
duri kitni sundar hoti hai
aur samipata kitni ghatiya
ek button ka antar
aur samiptayen
ye meri panDitan
aur ye san phransisko
dhakdhak hote
swapn tutte
nidra khul jati hai
tab subah sawere
sari suchana kranti
panchayat ghar ke pas
bijli ke jale transfarmar tale
pratiksha karti dikhlai deti hai
ghatatop andhere se jujhti lalten
ajkal sanjh Dhalte hi
sone ko wiwash karti hai
karawton par karawten,
akhir neend bhi kitni aaye
manaw pareshan hain
waise sapne beshumar hain
Duggar pardesh mein mere ganw
seri panDitan
aur
intarnet ke wishwagram
ke ek nagar
san phrasiskon ke madhya
jo nikat sampark hai
ana jana to nahin
par mel milap pura
sansar ka koi kona
is sampark se bahar nahin
par mel milap pura
sansar ka koi kona
is sampark se bahar nahin
beshak
bhookh, gharib,
lachari aur bimari
door karne ka
koi sadhan hai ya nahin
par ankaDe puri tarah
taiyar bar taiyar
jahan chaho, jab chaho
prapt kar lo
rishten
wichitr anrtjala ki
mar jhelte
khali kanastar mein paDe meinDhak ki tarah
taDap rahe hain
sampark pura hai
awaz aur khanakhnahat ke madhyam se
na aane ke liye aunsiyan hain
aur na jane ki piDa hai
duriyan samipata lekar i hain
jabse dil patthar
aur bhawnayen mashini hain
duri kitni sundar hoti hai
aur samipata kitni ghatiya
ek button ka antar
aur samiptayen
ye meri panDitan
aur ye san phransisko
dhakdhak hote
swapn tutte
nidra khul jati hai
tab subah sawere
sari suchana kranti
panchayat ghar ke pas
bijli ke jale transfarmar tale
pratiksha karti dikhlai deti hai
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक डोगरी कविता चयनिका (पृष्ठ 90)
संपादक : ओम गोस्वामी
रचनाकार : विजय वर्मा
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.