आप गुलाब कहते हैं जिन्हें
वे उग ही आती हैं हर बार
बिन खाद-पानी और देखभाल के
वे बचा लेती हैं ख़ुद को
अल्ट्रासाउंड की पराबैंगनी किरणों से
गर्भपात के तमाम हथकंडे झुठला कर
वे जन्म ले ही लेती हैं
समूची-सही-सलामत
हाँ, वे ही
आप गुलाब देते हैं जिन्हें
प्रेमिका कहकर
फिर प्रेम-प्रेम कहते-करते
चाहते हैं मसल देना
स्लीपवेल के गद्दों पर
आटे की तरह गूँथे जाने के बाद भी
सख़्त मर्दानी बाँहों में
वे कर ही लेती हैं भरपूर नींद की तलाश
हाँ, वे ही
जो लिखती हैं सूई से
रंग-बिरंगे रेशम से
'गुड नाइट' तकियों पर
उन्हीं तकियों पर मुँह गड़ा कर
दहाड़ें सारी दफ़ना कर
सिसक-सिसक कर गुज़ार देती हैं सारी रात
हाँ, वे ही
ऊनी कपड़ों के साथ जो
दबा देती हैं अपनी सारी क़ाबिलियत
बक्से तले
फ़िनायल की गोलियों की तरह
और बहा देती हैं शौचालय में
बच्चे की शौच के साथ
अपनी सारी हँसी
कि मासूमियत से कभी गृहस्थी नहीं चली
वे ढूँढ़-ढूँढ़ कर
उचक-उचक कर
छुड़ाती हैं जाले
साफ़ करती हैं बेसिन-पाख़ाने
रसोई की नालियाँ
वहाँ सड़क पर फाड़ दी जाती है उनकी इज़्ज़त
मर्दों के बहाने पड़ती हैं उन्हें ही गालियाँ
फिर भी वे ओढ़े रहती हैं होंठों पर
ठंड की धूप-सी झूठी मुस्कान
या लू-सी तीखी हँसी
शायद सब पेट से ही
सीख कर आती हैं ऐसी जादूगरी
अपनी तमाम चालाकियाँ भिड़ा कर
वे जीत लेती हैं आपका दिल
आप कह उठते हैं गुलाब उन्हें
लेकिन मैं बेहया कहूँगी!
aap gulab kahte hain jinhen
we ug hi aati hain har bar
bin khad pani aur dekhbhal ke
we bacha leti hain khu ko
altrasaunD ki parabaingni kirnon se
garbhpat ke tamam hathkanDe jhuthla kar
we janm le hi leti hain
samuchi sahi salamat
han, we hi
ap gulab dete hain jinhen
premika kahkar
phir prem prem kahte karte
chahte hain masal dena
slipwel ke gaddon par
ate ki tarah gunthe jane ke baad bhi
sakht mardani banhon mein
we kar hi leti hain bharpur neend ki talash
han, we hi
jo likhti hain sui se
rang birange resham se
good knight takiyon par
unhin takiyon par munh gaDa kar
dahaDen sari dafna kar
sisak sisak kar guzar deti hain sari raat
han, we hi
uni kapDon ke sath jo
daba deti hain apni sari qabiliyat
bakse tale
finayal ki goliyon ki tarah
aur baha deti hain shauchalay mein
bachche ki shauch ke sath
apni sari hansi
ki masumiyat se kabhi grihasthi nahin chali
we DhoonDh DhoonDh kar
uchak uchak kar
chhuDati hain jale
saf karti hain besin pakhane
rasoi ki naliyan
wahan saDak par phaD di jati hai unki izzat
mardon ke bahane paDti hain unhen hi galiyan
phir bhi we oDhe rahti hain honthon par
thanD ki dhoop si jhuthi muskan
ya lu si tikhi hansi
shayad sab pet se hi
seekh kar aati hain aisi jadugari
apni tamam chalakiyan bhiDa kar
we jeet leti hain aapka dil
ap kah uthte hain gulab unhen
lekin main behaya kahungi!
aap gulab kahte hain jinhen
we ug hi aati hain har bar
bin khad pani aur dekhbhal ke
we bacha leti hain khu ko
altrasaunD ki parabaingni kirnon se
garbhpat ke tamam hathkanDe jhuthla kar
we janm le hi leti hain
samuchi sahi salamat
han, we hi
ap gulab dete hain jinhen
premika kahkar
phir prem prem kahte karte
chahte hain masal dena
slipwel ke gaddon par
ate ki tarah gunthe jane ke baad bhi
sakht mardani banhon mein
we kar hi leti hain bharpur neend ki talash
han, we hi
jo likhti hain sui se
rang birange resham se
good knight takiyon par
unhin takiyon par munh gaDa kar
dahaDen sari dafna kar
sisak sisak kar guzar deti hain sari raat
han, we hi
uni kapDon ke sath jo
daba deti hain apni sari qabiliyat
bakse tale
finayal ki goliyon ki tarah
aur baha deti hain shauchalay mein
bachche ki shauch ke sath
apni sari hansi
ki masumiyat se kabhi grihasthi nahin chali
we DhoonDh DhoonDh kar
uchak uchak kar
chhuDati hain jale
saf karti hain besin pakhane
rasoi ki naliyan
wahan saDak par phaD di jati hai unki izzat
mardon ke bahane paDti hain unhen hi galiyan
phir bhi we oDhe rahti hain honthon par
thanD ki dhoop si jhuthi muskan
ya lu si tikhi hansi
shayad sab pet se hi
seekh kar aati hain aisi jadugari
apni tamam chalakiyan bhiDa kar
we jeet leti hain aapka dil
ap kah uthte hain gulab unhen
lekin main behaya kahungi!
स्रोत :
रचनाकार : नाज़िश अंसारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.