स्त्रियों के लिए
खोली गई है सिर्फ़ खिड़कियाँ
स्त्रियाँ इन्हीं
खिड़कियों से ताक़ती है
नीला आकाश
इन्हीं खिड़कियों से
बाहर निकालकर अपनी बाहें
लपकती है रुई से बादल
इन्ही खिड़कियों से
चोरी छुपे झाँक लेती है
संकरी गलियों के दूर तक पसरे दोनों छोर
इन्ही खिड़कियों से
कुछ स्त्रियाँ साड़ी के सहारे निकल भागती है
छूने अपनी-अपनी मंज़िले
कुल मिलाकर इन्हीं खिड़कियों से
आने वाली धूप की किरणों से
मिटा देती है वो ज़िंदगी की सीलन...
इन्हीं खिड़कियों से
स्त्रियों को मिली है हिम्मत
वो अब द्वार की साँकल खोलने की कोशिश में है...(वत्सु)
striyon ke liye
kholi gai hai sirf khiDkiyan,
striyan inhin
khiDakiyon se taqti hai
nila akash
inhin khiDakiyon se
bahar nikalkar apni bahen
lapakti hai rui se badal
inhi khiDakiyon se
chori chhupe jhaank leti hai
sankri galiyon ke door tak pasre donon chhor
inhi khiDakiyon se
kuch striyan saDi ke sahare nikal bhagti hai
chhune apni apni manzile
kul milakar inhin khiDakiyon se
aane vali dhoop ki kirnon se
mita deti hai wo zindagi ki silan. . .
inhin khiDakiyon se
striyon ko mili hai himmat
wo ab dvaar ki sankal kholne ki koshish mein hai. . . (vatsu)au
striyon ke liye
kholi gai hai sirf khiDkiyan,
striyan inhin
khiDakiyon se taqti hai
nila akash
inhin khiDakiyon se
bahar nikalkar apni bahen
lapakti hai rui se badal
inhi khiDakiyon se
chori chhupe jhaank leti hai
sankri galiyon ke door tak pasre donon chhor
inhi khiDakiyon se
kuch striyan saDi ke sahare nikal bhagti hai
chhune apni apni manzile
kul milakar inhin khiDakiyon se
aane vali dhoop ki kirnon se
mita deti hai wo zindagi ki silan. . .
inhin khiDakiyon se
striyon ko mili hai himmat
wo ab dvaar ki sankal kholne ki koshish mein hai. . . (vatsu)au
स्रोत :
रचनाकार : वत्सला पांडेय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.