जबकि बरसों बाद
स्त्रियों के हिस्से आया है
पुरुषों के संग रहने का सुख
तो फिर आँकड़े क्यूँ कह रहे हैं
कि स्त्रियाँ सबसे अधिक उदास इन दिनों ही है
कि ये कौन शिकायतें दर्ज करा रहा
बंद घरों में हिंसा की
कि घरेलू कार्यों में सिद्ध स्त्रियों के
कौन से कार्यों से पहुँच रही होगी
चोट तुम्हें
कि बरसों से सधे हाथों से
चूक होने की संभावना कम ही है
फिर ऐसा क्या जो
तुम्हारे माथे पर बल ला देता हो
और तुम्हारा क्रोध पर क़ाबू न रह पाता हो
बिफर पड़ते होंगे तुम
और आग बबूला हो
उठा लेते होंगे हाथ
कि उधेड़ देते होंगे बखिया
स्त्री के मन पर कढ़े कँगूरी की
कि आ जाता होगा तुम्हें
इत्मिनान उसकी रुँधती हुई
आवाज़ को सुनकर
इससे इतर कुछ चुप स्त्रियाँ भी हैं
जिन्होंने नहीं लिखाई रपट
जिनके हिस्से ऐसे पुरुष आए
जिन्होंने चुप की मार से
स्त्रियों के पंख कतर डाले
पर फिर भी वे चुप स्त्रियाँ
अपनी क्षमता से अधिक
श्रम साधती रहीं
और नहीं कर पाईं हौसला
घर की चहारदीवारी लाँघने का
हालाँकि उनके शरीर पर कोई निशान नहीं थे
पर मन पर पड़े घाव के रिसने का दर्द
उनकी आँखों में देखा जा सकता है
ओ पुरुष यह कैसा पुरुषत्व है तुम्हारा
कि जो स्त्री के प्रेम के बदले करते हो हर बार
उसे परास्त पीड़ा पहुँचाकर
और स्त्रियाँ हैं कि
हर शिनाख़्त के बाद भी
बचा लेती हैं अपने भीतर प्रेम का टुकड़ा
इस आस के साथ
कि वक़्त का पहिया एक जगह ठहरता नहीं
और सदियों-सदियों से इसी आस के साथ
सलीब पर ढोती आ रही हैं अपनी देह
इतिहास में कहीं दर्ज नहीं
इन स्त्रियों के टूटे स्वाभिमान का लेखा-जोखा
न दर्ज हैं आँसू
कि जिनकी नमी
धुँधला कर दे
इतिहास में लिखे अक्षरों को!
jab ki barson baad
istriyon ke hisse aaya hai
purushon ke sang rahne ka sukh
to phir ankaDe kyoon kah rahe hain
ki striyan sabse adhik udaas in dinon hi hai
ki ye kaun shikayaten darj kara raha
band gharo mein hinsa ki
ki gharelu karyon mein siddh istriyon ke
kaun se karyon se pahunch rahi hogi
chot tumhe
ki barson se sadhe hathon se
chook hone ki sambhavana kam hi hai
phir aisa kya jo
tumhare mathe par bal la deta ho
aur tumhara krodh par qabu na rah pata ho
biphar paDte honge tum
aur aag babula ho
utha lete honge haath
ki udheD dete honge bakhiya
istri ke man par kaDhe kanguri ki
ki aa jata hoga tumhen
itminan uski rundhati hui
avaz ko sunkar
isse itar kuch chup striyan bhi hain
jinhonne nahin likhai rapat
jinke hisse aise purush aaye
jinhonne chup ki maar se
istriyon ke pankh katar Dale
par phir bhi wo chup striyan
apni kshamata se adhik
shram sadhti rahin
aur nahin kar pain hausla
ghar ki chaar divari langhane ka
halanki unke sharir par koi nishan nahin the
par man par paDe ghaav ke risne
ka dard unki ankhon mein dekha ja sakta hai
o purush ye kaisa purushatv hai tumhara ki
jo istri ke prem
ke badle karte ho har baar
use parast piDa pahunchakar
aur striyan hain ki
har shinakht ke baad bhi
bacha leti hain apne bhitar prem ka tukDa
is aas ke saath
ki vaqt ka pahiya ek jagah thaharta nahin
aur sadiyon sadiyon se isi aas ke saath
salib par Dhoti aa rahi hain
apni deh
itihas mein kahin darj nahin
in istriyon ke tute svabhiman ka lekha jokha
na darj hain ansu
ki jinki nami
dhundhla kar de
itihas mein likhe akshron ko!
jab ki barson baad
istriyon ke hisse aaya hai
purushon ke sang rahne ka sukh
to phir ankaDe kyoon kah rahe hain
ki striyan sabse adhik udaas in dinon hi hai
ki ye kaun shikayaten darj kara raha
band gharo mein hinsa ki
ki gharelu karyon mein siddh istriyon ke
kaun se karyon se pahunch rahi hogi
chot tumhe
ki barson se sadhe hathon se
chook hone ki sambhavana kam hi hai
phir aisa kya jo
tumhare mathe par bal la deta ho
aur tumhara krodh par qabu na rah pata ho
biphar paDte honge tum
aur aag babula ho
utha lete honge haath
ki udheD dete honge bakhiya
istri ke man par kaDhe kanguri ki
ki aa jata hoga tumhen
itminan uski rundhati hui
avaz ko sunkar
isse itar kuch chup striyan bhi hain
jinhonne nahin likhai rapat
jinke hisse aise purush aaye
jinhonne chup ki maar se
istriyon ke pankh katar Dale
par phir bhi wo chup striyan
apni kshamata se adhik
shram sadhti rahin
aur nahin kar pain hausla
ghar ki chaar divari langhane ka
halanki unke sharir par koi nishan nahin the
par man par paDe ghaav ke risne
ka dard unki ankhon mein dekha ja sakta hai
o purush ye kaisa purushatv hai tumhara ki
jo istri ke prem
ke badle karte ho har baar
use parast piDa pahunchakar
aur striyan hain ki
har shinakht ke baad bhi
bacha leti hain apne bhitar prem ka tukDa
is aas ke saath
ki vaqt ka pahiya ek jagah thaharta nahin
aur sadiyon sadiyon se isi aas ke saath
salib par Dhoti aa rahi hain
apni deh
itihas mein kahin darj nahin
in istriyon ke tute svabhiman ka lekha jokha
na darj hain ansu
ki jinki nami
dhundhla kar de
itihas mein likhe akshron ko!
स्रोत :
रचनाकार : शालिनी सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.