स्त्रियाँ रसायन से चलती हैं
एक जैसा नहीं रहता उनका मन
और इसलिए
हमेशा हँस नहीं सकती।
उनके भीतर के स्टार्च रसायन से,
जब भी कोई भाव मिलता है,
वह भाव
और गाढ़ा हो जाता है।
जिसे तरल करने के लिए कई लीटर
पानी डालना होता है,
उनकी भावनाओं पर।
संबंध
पानी और स्त्री का
प्रगाढ़ है।
वे स्त्री को
पानी से भरा देखना चाहते हैं।
इसलिए
जितना पानी है,
उतने घड़े हैं
स्त्रियों के पास
सहेजने के लिए।
मेरी माँ कहती है,
स्त्रियाँ अपने बच्चे को पोसते हुए,
हज़ारों घड़े दूध पिला देती हैं।
(मुझे नहीं लगता
कि किसी के पास
इसका कोई हिसाब है)
और कहती हैं
स्त्रियाँ बे हिसाब देती हैं,
बिना कुछ वापस लिए।
मैंने पाया कि
इस उदारता में वे
सबसे अधिक अपना समय
गँवाती हैं।
शायद इसलिए घड़ी के मायने
उनके लिए अलग हैं।
वे घड़ी में या तो
उसके डायल का आकार देखती हैं,
या उसके पट्टे की मैचिंग,
समय से उनका अधिक सरोकार नहीं
वे उसकी पाबंदी बर्दाश्त नहीं करतीं।
इसके विपरीत,
स्त्रियों की देह
अनुशासित होती है।
अनुशासित देह और स्वच्छंदी मन,
शायद संघर्षपूर्ण जीवन के लिए अपर्याप्त थे,
इसलिए उन्हें गाढ़े दागों की काया के साथ,
बेदाग़ जीवन जीने का फ़रमान मिला।
और स्त्रियाँ जीती रहीं हैं
इस क़रीने से
कि कोई दाग न लगे कभी
उनके कपड़ो पर,
उनकी अस्मत पर।
जबकि उन्हें होना चाहिए,
आज़ादी
बड़े-बड़े धब्बों के साथ,
शान से जीने की।
striyan rasayan se chalti hain
ek jaisa nahin rahta unka man
aur isliye
hamesha hans nahin sakti
unke bhitar ke starch rasayan se,
jab bhi koi bhaw milta hai,
wo bhaw
aur gaDha ho jata hai
jise taral karne ke liye kai liter
pani Dalna hota hai,
unki bhawnaon par
sambandh
pani aur istri ka
pragaDh hai
we istri ko
pani se bhara dekhana chahte hain
isliye
jitna pani hai,
utne ghaDe hain
striyon ke pas
sahejne ke liye
meri man kahti hai,
striyan apne bachche ko poste hue,
hazaron ghaDe doodh pila deti hain
(mujhe nahin lagta
ki kisi ke pas
iska koi hisab hai)
aur kahti hain
striyan be hisab deti hain,
bina kuch wapas liye
mainne paya ki
is udarta mein we
sabse adhik apna samay
ganwati hain
shayad isliye ghaDi ke mayne
unke liye alag hain
we ghaDi mein ya to
uske dial ka akar dekhti hain,
ya uske patte ki maiching,
samay se unka adhik sarokar nahin
we uski pabandi bardasht nahin kartin
iske wiprit,
striyon ki deh
anushasit hoti hai
anushasit deh aur swachchhandi man,
shayad sangharshpurn jiwan ke liye aparyapt the,
isliye unhen gaDhe dagon ki kaya ke sath,
bedagh jiwan jine ka farman mila
aur striyan jiti rahin hain
is qarine se
ki koi dag na lage kabhi
unke kapDo par,
unki asmat par
jabki unhen hona chahiye,
azadi
baDe baDe dhabbon ke sath,
shan se jine ki
striyan rasayan se chalti hain
ek jaisa nahin rahta unka man
aur isliye
hamesha hans nahin sakti
unke bhitar ke starch rasayan se,
jab bhi koi bhaw milta hai,
wo bhaw
aur gaDha ho jata hai
jise taral karne ke liye kai liter
pani Dalna hota hai,
unki bhawnaon par
sambandh
pani aur istri ka
pragaDh hai
we istri ko
pani se bhara dekhana chahte hain
isliye
jitna pani hai,
utne ghaDe hain
striyon ke pas
sahejne ke liye
meri man kahti hai,
striyan apne bachche ko poste hue,
hazaron ghaDe doodh pila deti hain
(mujhe nahin lagta
ki kisi ke pas
iska koi hisab hai)
aur kahti hain
striyan be hisab deti hain,
bina kuch wapas liye
mainne paya ki
is udarta mein we
sabse adhik apna samay
ganwati hain
shayad isliye ghaDi ke mayne
unke liye alag hain
we ghaDi mein ya to
uske dial ka akar dekhti hain,
ya uske patte ki maiching,
samay se unka adhik sarokar nahin
we uski pabandi bardasht nahin kartin
iske wiprit,
striyon ki deh
anushasit hoti hai
anushasit deh aur swachchhandi man,
shayad sangharshpurn jiwan ke liye aparyapt the,
isliye unhen gaDhe dagon ki kaya ke sath,
bedagh jiwan jine ka farman mila
aur striyan jiti rahin hain
is qarine se
ki koi dag na lage kabhi
unke kapDo par,
unki asmat par
jabki unhen hona chahiye,
azadi
baDe baDe dhabbon ke sath,
shan se jine ki
स्रोत :
रचनाकार : नेहल शाह
प्रकाशन : पहली बार
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.