एक स्त्री को जो भी मिला
सिखाना चाहा उसे उसने
सब कुछ शुरू से
परिचय कराना चाहा
नई भाषा, चाल-ढाल
शौक़ और संगत से
दिखाना चाहा दुनिया को
देखने-समझने के ख़ुद के ही
एहतियात किए हुए अपने नज़रिए से
जिस पर रहा उसे सबसे ज़्यादा भरोसा
मतलब औरत की सीखी हुई
सारी भाषा चाल-ढाल कटघरे में
गुहार लगते लगाते वहीं दम तोड़ते रही
और वह हर बार गढ़ता रह उसे
अपनी रुचि के अनुरूप
तमाम कोशिशों के बावजूद भी
एक औरत को उसके औरतपन से
परे देखा नहीं गया
बार-बार मीलों सफ़र के बाद भी
एक औरत का उसी धुरी पर लौटना
थकाता रहा उसे बेहिसाब
फिर भी औरतों ने चलना चुना
और ताज्जुब है कि तुम्हारे
अपने ही कुंठाओं की वजह से
तुम्हें आज भी चलती हुई औरत
भागती हुई दिखाई दे रही है
क्योंकि तुमने कभी अपने से परे
उसे टटोलना तक जायज़ नहीं समझा
फिर तुम उसे कैसे देख पाओगे?
ek istri ko jo bhi mila
sikhana chaha use usne
sab kuch shuru se
parichai karana chaha
nai bhasha, chaal Dhaal
shauk aur sangat se
dikhana chaha duniya ko
dekhne samajhne ke khu ke hi
ehtiyat kiye hue apne najariye se
jis par raha use sabse zyada bharosa
matlab aurat ki sikhi hui
sari bhasha chaal Dhaal katghare men
guhar lagte lagate vahin dam toDte rahi
aur wo har baar gaDhta rah use
apne pasand, apne ruchi ke anurup
tamam koshishon ke bavjud bhi
ek aurat ko uske auratpan
se pare dekha nahin gaya
baar baar milon safar ke baad bhi
ek aurat ka usi dhuri par lautna
thakata raha use behisab
phir bhi aurton ne chalna chuna
aur tajjub hai ki tumhare
apne hi kunthao ke vajah se,
tumhein aaj bhi chalti hui aurat
bhagti hui dikhaye de rahi hai,
kyonki tumne kabhi apne se pare
use tatolna tak jayaz nahin samjha
phir tum use kaise dekh paoge?
ek istri ko jo bhi mila
sikhana chaha use usne
sab kuch shuru se
parichai karana chaha
nai bhasha, chaal Dhaal
shauk aur sangat se
dikhana chaha duniya ko
dekhne samajhne ke khu ke hi
ehtiyat kiye hue apne najariye se
jis par raha use sabse zyada bharosa
matlab aurat ki sikhi hui
sari bhasha chaal Dhaal katghare men
guhar lagte lagate vahin dam toDte rahi
aur wo har baar gaDhta rah use
apne pasand, apne ruchi ke anurup
tamam koshishon ke bavjud bhi
ek aurat ko uske auratpan
se pare dekha nahin gaya
baar baar milon safar ke baad bhi
ek aurat ka usi dhuri par lautna
thakata raha use behisab
phir bhi aurton ne chalna chuna
aur tajjub hai ki tumhare
apne hi kunthao ke vajah se,
tumhein aaj bhi chalti hui aurat
bhagti hui dikhaye de rahi hai,
kyonki tumne kabhi apne se pare
use tatolna tak jayaz nahin samjha
phir tum use kaise dekh paoge?
स्रोत :
रचनाकार : अंशू कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.