हमें ज्ञान नहीं—
कब शक्ति संपन्न होता है तुम्हारा शब्द।
कभी-कभी तुम साधारण व्यक्ति बन जाते हो
और अपना रूप छिपा कर
बैठ जाते हो ऐसे मूर्खों के बीच
जिनका बहुत सीमित होता है ज्ञान।
कभी-कभी तुम बोलते हो इस तरह
जो न समझे जाने पर
तुम्हें कोई दु:ख होता ही नहीं।
कभी-कभी अज्ञानियों की ओर
इतनी मृदुता के साथ देखते हो
कि मुझे ईर्ष्या होती है उनके अज्ञान से।
तुम्हें अपना रूप दिखाने की जैसे चिंता ही नहीं।
और जब सुनते हो बीते दिनों की बातें
तुम झुका देते हो अपनी नज़रें
खोजने लगते हो जैसे आसान से भी आसान शब्द।
कितना कठिन है मालूम करना
तुम्हारे तमाम इरादे!
कितना कठिन हो गया है
तुम्हारा अनुकरण करना!
कल ही की तो बात है
जब तुम भालुओं से बातें कर रहे थे
मुझे लगा था कि वे तुमसे दूर जा रहे हैं
तुम्हें समझे बिना।
hamein gyaan nahin—
kab shakti sampann hota hai tumhara shabd.
kabhi kabhi tum sadharan vyakti ban jate ho
aur apna roop chhipa kar
baith jate ho aise murkhon ke beech
jinka bahut simit hota hai gyaan.
kabhi kabhi tum bolte ho is tarah
jo na samjhe jane par
tumhein koi duhakh hota hi nahin.
kabhi kabhi agyaniyon ki or
itni mriduta ke saath dekhte ho
ki mujhe iirshya hoti hai unke agyan se.
tumhein apna roop dikhane ki jaise chinta hi nahin.
aur jab sunte ho bite dinon ki baten
tum jhuka dete ho apni nazren
khojne lagte ho jaise asan se bhi asan shabd.
kitna kathin hai malum karna
tumhare tamam irade!
kitna kathin ho gaya hai
tumhara anukran karna!
kal hi ki to baat hai
jab tum bhaluon se baten kar rahe the
mujhe laga tha ki ve tumse door ja rahe hain
tumhein samjhe bina.
hamein gyaan nahin—
kab shakti sampann hota hai tumhara shabd.
kabhi kabhi tum sadharan vyakti ban jate ho
aur apna roop chhipa kar
baith jate ho aise murkhon ke beech
jinka bahut simit hota hai gyaan.
kabhi kabhi tum bolte ho is tarah
jo na samjhe jane par
tumhein koi duhakh hota hi nahin.
kabhi kabhi agyaniyon ki or
itni mriduta ke saath dekhte ho
ki mujhe iirshya hoti hai unke agyan se.
tumhein apna roop dikhane ki jaise chinta hi nahin.
aur jab sunte ho bite dinon ki baten
tum jhuka dete ho apni nazren
khojne lagte ho jaise asan se bhi asan shabd.
kitna kathin hai malum karna
tumhare tamam irade!
kitna kathin ho gaya hai
tumhara anukran karna!
kal hi ki to baat hai
jab tum bhaluon se baten kar rahe the
mujhe laga tha ki ve tumse door ja rahe hain
tumhein samjhe bina.
स्रोत :
पुस्तक : निकोलाई रेरिख की कविताएँ (पृष्ठ 37)
रचनाकार : निकोलाई रेरिख
प्रकाशन : रेरिख अध्ययन परिषद, नई दिल्ली
संस्करण : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.