अकेली औरत—
को समझने के लिए
आवश्यक है
दृष्टि में परिवर्तन।
वह कोई छूटा हुआ
नाम नहीं,
ना ही किसी की
परछाईं—
वह एक संपूर्ण काव्य है
अपने आप में।
उसे मत देखो
उपेक्षित दृष्टि से
क्योंकि वह
उपेक्षा की नहीं,
उत्सव की पात्र है।
उसकी मुस्कान
को शक की निगाह
मत दो,
उसके सजने-संवरने को
कभी प्रदर्शन
मत कहो।
खिल-खिलाहट उसका
अपराध नहीं है,
जीवन का एक
साहसी उत्तर है।
उसका बोलना,
बतियाना,नाचना,
गाना—
ये सब उसके
अकेले होने के
ख़िलाफ़
सुंदर प्रतिशोध है
समाज से।
मत ठहराओ उसे
उसके वैवाहिक संदर्भ में,
सही या ग़लत
या उसकी माँ न बन पाने की कथित विफलता में।
उसकी सोच में
जो तानें हैं—
वही तो हैं
सृष्टि की तमाम
संवेदनाओं के राग।
अकेली औरत—
मत सोचो उसे
निंदनीय या अधूरी।
उसकी आत्मा में
इतिहास का बोध भी हैं
और भविष्य की
निर्माण-क्षमता भी।
वह अकेली नहीं—
वह पूर्ण है,
वह पूरी पृथ्वी है,
बस
तुम्हारी दृष्टि अधूरी है।
akeli aurat—
ko samajhne ke liye
avashyak hai
drishti mein parivartan.
wo koi chhuta hua
naam nahin,
na hi kisi ki
parchhain—
wo ek sampurn kavya hai
apne aap mein.
use mat dekho
upekshit drishti se
kyonki wo
upeksha ki nahin,
utsav ki paatr hai.
uski muskan
ko shak ki nigah
mat do,
uske sajne sanvarne ko
kabhi pradarshan
mat kaho.
khil khilahat uska
apradh nahin hai,
jivan ka ek
sahasi uttar hai.
uska bolna,
batiyana,nachna,
gana—
ye sab uske
akele hone ke
khilaf
sundar pratishodh hai
samaj se.
mat thahrao use
uske vaivahik sandarbh mein,
sahi ya ghalat
ya uski maan na ban pane ki kathit viphalta mein.
uski soch men
jo tanen hain—
vahi to hain
srishti ki tamam
sanvednaon ke raag.
akeli aurat—
mat socho use
nindniy ya adhuri.
uski aatma men
itihas ka bodh bhi hain
aur bhavishya ki
nirman kshamata bhi.
wo akeli nahin—
wo poorn hai,
wo puri prithvi hai,
bas
tumhari drishti adhuri hai.
akeli aurat—
ko samajhne ke liye
avashyak hai
drishti mein parivartan.
wo koi chhuta hua
naam nahin,
na hi kisi ki
parchhain—
wo ek sampurn kavya hai
apne aap mein.
use mat dekho
upekshit drishti se
kyonki wo
upeksha ki nahin,
utsav ki paatr hai.
uski muskan
ko shak ki nigah
mat do,
uske sajne sanvarne ko
kabhi pradarshan
mat kaho.
khil khilahat uska
apradh nahin hai,
jivan ka ek
sahasi uttar hai.
uska bolna,
batiyana,nachna,
gana—
ye sab uske
akele hone ke
khilaf
sundar pratishodh hai
samaj se.
mat thahrao use
uske vaivahik sandarbh mein,
sahi ya ghalat
ya uski maan na ban pane ki kathit viphalta mein.
uski soch men
jo tanen hain—
vahi to hain
srishti ki tamam
sanvednaon ke raag.
akeli aurat—
mat socho use
nindniy ya adhuri.
uski aatma men
itihas ka bodh bhi hain
aur bhavishya ki
nirman kshamata bhi.
wo akeli nahin—
wo poorn hai,
wo puri prithvi hai,
bas
tumhari drishti adhuri hai.
स्रोत :
रचनाकार : प्रमिला शंकर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.