टखनों और अँगूठों से उठने वाला दर्द
मेरुदंड तक जाते-जाते
समाचार-सा बढ़ जाता है और मस्तिष्क के कुंद
तंतुओं में पहुँचकर
अग्निपिंड में तब्दील हो जाता है, वह अग्निपिंड
हिन्दुस्तान के किसी खेत-पथार में
फूट सकता है
कंपूचिया के नगरों में भड़क सकता है और
चीन की सड़कों पर विस्फोट कर सकता है
अभी जो तुम्हारे दिमाग़ में
चोर-सा एक आदमी घुस गया
वह फायर-ब्रिगेड में काम करता है।
पर, दिमाग़ से लेकर दिमाग़ तक फैली आग को
किसी सरकारी शासक से दबाया नहीं जा सकता
तुम, अभी उन्हें
जो भी चाहते हैं कर लेने दो
आग से खेलने की बचकानी हविश ही
एक दिन उनकी मौत का कारण बनेगी
तब तक तुम—
किसी भी हथियार को धारदार बना सकते हो
और कोई भी गीत
जिसमें दर्द को अनिवार्य नहीं माना गया हो
गा सकते हो।
takhnon aur anguthon se uthne vala dard
merudanD tak jate jate
samachar sa baDh jata hai aur mastishk ke kund
tantuon mein pahunchakar
agnipinD mein tabdil ho jata hai, wo agnipinD
hindustan ke kisi khet pathar men
phoot sakta hai
kampuchiya ke nagron mein bhaDak sakta hai aur
cheen ki saDkon par visphot kar sakta hai
abhi jo tumhare dimagh mein
chor sa ek adami ghus gaya
wo phayar brigade mein kaam karta hai.
par, dimagh se lekar dimagh tak phaili aag ko
kisi sarkari shasak se dabaya nahin ja sakta
tum, abhi unhen
jo bhi chahte hain kar lene do
aag se khelne ki bachkani havish ho
ek din unki maut ka karan banegi
tab tak tum—
kisi bhi hathiyar ko dharadar bana sakte ho
aur koi bhi got
jismen dard ko naya nahin mana gaya ho
ga sakte ho.
takhnon aur anguthon se uthne vala dard
merudanD tak jate jate
samachar sa baDh jata hai aur mastishk ke kund
tantuon mein pahunchakar
agnipinD mein tabdil ho jata hai, wo agnipinD
hindustan ke kisi khet pathar men
phoot sakta hai
kampuchiya ke nagron mein bhaDak sakta hai aur
cheen ki saDkon par visphot kar sakta hai
abhi jo tumhare dimagh mein
chor sa ek adami ghus gaya
wo phayar brigade mein kaam karta hai.
par, dimagh se lekar dimagh tak phaili aag ko
kisi sarkari shasak se dabaya nahin ja sakta
tum, abhi unhen
jo bhi chahte hain kar lene do
aag se khelne ki bachkani havish ho
ek din unki maut ka karan banegi
tab tak tum—
kisi bhi hathiyar ko dharadar bana sakte ho
aur koi bhi got
jismen dard ko naya nahin mana gaya ho
ga sakte ho.
स्रोत :
पुस्तक : मैथिली कविताएँ (पृष्ठ 49)
संपादक : ज्ञानरंजन, कमलाप्रसाद
रचनाकार : विभूति आनंद
प्रकाशन : पहल प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.