क्या कर रहे हो?
हर रात की तरह
सोने से पहले लगता है
फिर वही सोच रहे हो
रोज़ उसी बात को सोचकर
उससे लड़कर सो जाते हो
कहीं ये आदत तो नहीं बन चुकी?
शायद वो ख़्वाहिश
कई रातों पहले ही पूरी हो चुकी थी
तुम लालच तो नहीं कर बैठे?
वो तो सोने नहीं देगी
बहुत ज़ालिम है वो।
अच्छा मैं अगर कहूँ
मैं तुम्हें सब सवालों से मुक्त कर सकता हूँ
उस गुप्त दरवाज़े का रास्ता भी
बता सकता हूँ
पर तुम तो लुप्त हो
उसी आदत में,
रोज़ वही सोचकर सो जाने में।
सब सही कभी नहीं होगा
थक गए होगे!
थोड़ा रुक जाओ, साँस तो लो
पूरा होने की चाहत में
अधूरे तक भी ना पहुँच पाए
क्या पता
अधूरा होना ही जीवन की नियति हो!
ये कैसी नियति?
मुझे तो कुछ और बताया गया था।
ठीक है, जिसने बताया उनसे पूछो
कि पूरे की परिभाषा क्या है
और आधे की व्यथा क्या है
हर चीज़ के भाग तुमने किए
साल को महीनों में
महीनों को दिनों में
फिर दिन से पहरों, घंटों में।
हो सकता है
आधा और पूरा कुछ हो ही नहीं।
शायद!
सोते हुए ही जीवित हो
जागे हुए तो सब सिर्फ़ एक मूरत हो।
kya kar rahe ho?
har raat ki tarah
sone se pahle lagta hai
phir wahi soch rahe ho
roz usi baat ko sochkar
usse laDkar so jate ho
kahin ye aadat to nahin ban chuki?
shayad wo khwahish
kai raton pahle hi puri ho chuki thi
tum lalach to nahin kar baithe?
wo to sone nahin degi
bahut zalim hai wo
achchha main agar kahun
main tumhein sab sawalon se mukt kar sakta hoon
us gupt darwaze ka rasta bhi
bata sakta hoon
par tum to lupt ho
usi aadat mein,
roz wahi sochkar so jane mein
sab sahi kabhi nahin hoga
thak gaye hoge!
thoDa ruk jao, sans to lo
pura hone ki chahat mein
adhure tak bhi na pahunch pae
kya pata
adhura hona hi jiwan ki niyti ho!
ye kaisi niyti?
mujhe to kuch aur bataya gaya tha
theek hai, jisne bataya unse puchho
ki pure ki paribhasha kya hai
aur aadhe ki wyatha kya hai
har cheez ke bhag tumne kiye
sal ko mahinon mein
mahinon ko dinon mein
phir din se pahron, ghanton mein
ho sakta hai
adha aur pura kuch ho hi nahin
shayad!
sote hue hi jiwit ho
jage hue to sab sirf ek murat ho
kya kar rahe ho?
har raat ki tarah
sone se pahle lagta hai
phir wahi soch rahe ho
roz usi baat ko sochkar
usse laDkar so jate ho
kahin ye aadat to nahin ban chuki?
shayad wo khwahish
kai raton pahle hi puri ho chuki thi
tum lalach to nahin kar baithe?
wo to sone nahin degi
bahut zalim hai wo
achchha main agar kahun
main tumhein sab sawalon se mukt kar sakta hoon
us gupt darwaze ka rasta bhi
bata sakta hoon
par tum to lupt ho
usi aadat mein,
roz wahi sochkar so jane mein
sab sahi kabhi nahin hoga
thak gaye hoge!
thoDa ruk jao, sans to lo
pura hone ki chahat mein
adhure tak bhi na pahunch pae
kya pata
adhura hona hi jiwan ki niyti ho!
ye kaisi niyti?
mujhe to kuch aur bataya gaya tha
theek hai, jisne bataya unse puchho
ki pure ki paribhasha kya hai
aur aadhe ki wyatha kya hai
har cheez ke bhag tumne kiye
sal ko mahinon mein
mahinon ko dinon mein
phir din se pahron, ghanton mein
ho sakta hai
adha aur pura kuch ho hi nahin
shayad!
sote hue hi jiwit ho
jage hue to sab sirf ek murat ho
स्रोत :
रचनाकार : जतिन एंड विंग्स
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.