जिन्हें नहीं आती नींद
वे अक्सर सपना ही देखें
यह ज़रूरी नहीं
जिन्हें बोलना आता है
ज़रूरी नहीं कि
वे अक्सर सच ही बोलें
जिन्हें सुनना आता है
वे अक्सर
सही ही सुने
यह भी ज़रूरी नहीं
जिन्हें चुनना आता हो
वह अक्सर
सही का ही चुनाव करे
यह भी ज़रूरी नहीं
जिन्हें बहस करना आता हो
वे बहस तलब हो
ज़रूरी नहीं
मसलन
हरेक स्वप्न जागरण नहीं
हरेक बात सच नहीं
हरेक हरकारा सुनने लायक नहीं
हरेक चुनाव उचित नहीं
हरेक बहस बहस तलब नहीं
कई बार चुप रह जाना जीवन है
और कई बार चुप रह जाना मृत्यु भी
झूठ बहुत ऊँचे स्वर में दस्तक देता है
क्रूरता अचानक ग़ुब्बारे की तरह फैलती है
मृत्यु का मुख़ अचानक ग्रसता है जीवन को
अफ़वाह बम की तरह फटता है
नींद बहुत धीमे दस्तक देती है
जीवन ऐसे ही चलता है
जीवन का व्याकरण अक्सर एक सचाई से कहीं अधिक
एक सबल झूठ को स्वीकारता है
एक सामान्य जीवन को किसी बात से फ़र्क़ नहीं पड़ता
उसके जीवन की सचाई
उसके जीवन के जद्दोजहद में है
उसका अपना एक ही सच है
कि उसे मृत्यु तक जीना है
जीने के किसी भी शर्त के साथ
नींद बस एक क्षणिक मृत्यु है
जीवन को जीने तक खींचते चलना ही
उपयुक्त विचारधारा
मनुष्यता की सर्वाधिक आबादी अपने जीवन को ऐसे ही ढोती है
इसके अतिरिक्त जो कुछ है
वह बुद्धजीवियों, दार्शनिकों, कवियों का या तो प्रलाप है
या किसी कुशल राजनीतिज्ञ का
राजनीतिक दाँव-पेंच
जिसके मोहरे अक्सर सरकार बनाते हैं
जिसके लाभार्थियों की संख्या उँगलियों के गिनती बराबर है
बाकी बचे समाज के महत्तम समापवर्तक किसी आँकड़े में दर्ज़ भर होते हैं
वे विचारों के लघुत्तम गणित से बेदखल हैं।
jinhen nahin aati neend
ve aksar sapna hi dekhen
ye zaruri nahin
jinhen bolna aata hai
zaruri nahin ki
ve aksar sach hi bolen
jinhen sunna aata hai
ve aksar
sahi hi sune
ye bhi zaruri nahin
jinhen chunna aata ho
wo aksar
sahi ka hi chunav kare
ye bhi zaruri nahin
jinhen bahs karna aata ho
ve bahs talab ho
zaruri nahin
masalan
harek svapn jagran nahin
harek baat sach nahin
harek harkara sunne layak nahin
harek chunav uchit nahin
harek bahs bahs talab nahin
kai baar chup rah jana jivan hai
aur kai baar chup rah jana mrityu bhi
jhooth bahut uunche svar mein dastak deta hai
krurata achanak ghubbare ki tarah phailti hai
mrityu ka mukh achanak grasta hai jivan ko
afvah bam ki tarah phatta hai
neend bahut dhime dastak deti hai
jivan aise hi chalta hai
jivan ka vyakran aksar ek sachai se kahin adhik
ek sabal jhooth ko svikarta hai
ek samanya jivan ko kisi baat se farq nahin paDta
uske jivan ki sachai
uske jivan ke jaddojhad mein hai
uska apna ek hi sach hai
ki use mrityu tak jina hai
jine ke kisi bhi shart ke saath
neend bas ek kshnik mrityu hai
jivan ko jine tak khinchte chalna hi
upyukt vicharadhara
manushyata ki sarvadhik abadi apne jivan ko aise hi Dhoti hai
iske atirikt jo kuch hai
wo buddhjiviyon, darshanikon, kaviyon ka ya to pralap hai
ya kisi kushal rajnitigya ka
rajnitik daanv pench
jiske mohre aksar sarkar banate hain
jiske labharthiyon ki sankhya ungliyon ke ginti barabar hai
baki bache samaj ke mahattam samapavartak kisi ankaDe mein darz bhar hote hain
ve vicharon ke laghuttam ganit se bedakhal hain.
jinhen nahin aati neend
ve aksar sapna hi dekhen
ye zaruri nahin
jinhen bolna aata hai
zaruri nahin ki
ve aksar sach hi bolen
jinhen sunna aata hai
ve aksar
sahi hi sune
ye bhi zaruri nahin
jinhen chunna aata ho
wo aksar
sahi ka hi chunav kare
ye bhi zaruri nahin
jinhen bahs karna aata ho
ve bahs talab ho
zaruri nahin
masalan
harek svapn jagran nahin
harek baat sach nahin
harek harkara sunne layak nahin
harek chunav uchit nahin
harek bahs bahs talab nahin
kai baar chup rah jana jivan hai
aur kai baar chup rah jana mrityu bhi
jhooth bahut uunche svar mein dastak deta hai
krurata achanak ghubbare ki tarah phailti hai
mrityu ka mukh achanak grasta hai jivan ko
afvah bam ki tarah phatta hai
neend bahut dhime dastak deti hai
jivan aise hi chalta hai
jivan ka vyakran aksar ek sachai se kahin adhik
ek sabal jhooth ko svikarta hai
ek samanya jivan ko kisi baat se farq nahin paDta
uske jivan ki sachai
uske jivan ke jaddojhad mein hai
uska apna ek hi sach hai
ki use mrityu tak jina hai
jine ke kisi bhi shart ke saath
neend bas ek kshnik mrityu hai
jivan ko jine tak khinchte chalna hi
upyukt vicharadhara
manushyata ki sarvadhik abadi apne jivan ko aise hi Dhoti hai
iske atirikt jo kuch hai
wo buddhjiviyon, darshanikon, kaviyon ka ya to pralap hai
ya kisi kushal rajnitigya ka
rajnitik daanv pench
jiske mohre aksar sarkar banate hain
jiske labharthiyon ki sankhya ungliyon ke ginti barabar hai
baki bache samaj ke mahattam samapavartak kisi ankaDe mein darz bhar hote hain
ve vicharon ke laghuttam ganit se bedakhal hain.
स्रोत :
रचनाकार : कुमार मंगलम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.