पहाड़ की छाती पर
ऊँचाई से गिरती नदी,
बह जाती है आगे...
पहाड़ उसे अंकवार लेना चाहता है,
कुछ क्षणों लिए
चूमना चाहता है
उसके कपोलों को
जताना चाहता है प्यार...
नदी, पहाड़ के दोनों हाथों के बीच से
सरककर, निकल जाती है आगे...
जैसे बड़ी होकर बेटियाँ
चली जाती है
पराए घर,
पिता का घर खाली कर के...
छोटे-छोटे कुंडों/गड्ढों में
फंसा रहता है नदी का पानी
जिसे पहाड़ सम्हाल कर रखता है
सूरज के विरुद्ध
हथियार के रूप मे
मेरे मन के गड्ढों में
क़ैद हैं, तुम्हारी स्मृतियाँ
वैसे ही
pahaD ki chhati par
uunchai se girti nadi,
bah jati hai aage. . .
pahaD use ankvar lena chahta hai,
kuch kshnon liye
chumna chahta hai
uske kapolon ko
jatana chahta hai pyaar. . .
nadi, pahaD ke donon hathon ke beech se
sarakkar, nikal jati hai aage. . .
jaise baDi hokar betiyan
chali jati hai
paraye ghar,
pita ka ghar khali kar ke. . .
chhote chhote kunDon/gaDDhon mein
phansa rahta hai nadi ka pani
jise pahaD samhal kar rakhta hai
suraj ke viruddh
hathiyar ke roop mae
mere man ke gaDDhon mein
qaid hain, tumhari smritiyan
vaise hi
pahaD ki chhati par
uunchai se girti nadi,
bah jati hai aage. . .
pahaD use ankvar lena chahta hai,
kuch kshnon liye
chumna chahta hai
uske kapolon ko
jatana chahta hai pyaar. . .
nadi, pahaD ke donon hathon ke beech se
sarakkar, nikal jati hai aage. . .
jaise baDi hokar betiyan
chali jati hai
paraye ghar,
pita ka ghar khali kar ke. . .
chhote chhote kunDon/gaDDhon mein
phansa rahta hai nadi ka pani
jise pahaD samhal kar rakhta hai
suraj ke viruddh
hathiyar ke roop mae
mere man ke gaDDhon mein
qaid hain, tumhari smritiyan
vaise hi
स्रोत :
रचनाकार : नीरज नीर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.