—पेन है?
—है
—देना
—जी
—अरे, लाल स्याही का है?
—है
—देना
—जी
—यह हल्का चल रहा है, दूसरा है?
—है
—देना
—जी
—यह जी-जी क्या लगा रखी है?
—क्या हुआ?
—बोलती क्यों नहीं?
—पेन दे दिया न?
—पर बोल क्यों नहीं रही?
—लिख रही थी
—लेखन मुझसे ज़्यादा ज़रूरी है?
—मैंने कब कहा?
—कहती ही तो नहीं हो
—फिर भी तुम कितना कुछ सुन लेते हो
और सुनाते रहते हो
—तुम्हें तो सुनना ही पड़ेगा
—क्यो?
—तुम औरत हो
—तो?
—सवाल मत करो
—क्यो?
—नहीं, मुझसे नहीं
—तो किससे?
—जिसने पैदा किया
—तुम्हें?
—अब तुम नहीं बचोगी
—क्या करोगे?
—सिर धड़ से अलग कर दूँगा
—किसका?
—तुम्हारा
—तुम तो यही चाहते हो, होता भी आया है
पर अब तुम्हारे चाहने मात्र से कुछ नहीं हो सकता
सुनो, तुम्हें धड़ चाहिए
तो सोच लो साथ रहेगा सिर भी औरत
—pen hai?
—hai
—dena
—ji
—are, laal syahi ka hai?
—hai
—dena
—ji
—yah halka chal raha hai, dusra hai?
—hai
—dena
—ji
—yah ji ji kya laga rakhi hai?
—kya hua?
—bolti kyon nahin?
—pen de diya n?
—par bol kyon nahin rahi?
—likh rahi thi
—lekhan mujhse zyada zaruri hai?
—mainne kab kaha?
—kahti hi to nahin ho
—phir bhi tum kitna kuch sun lete ho
aur sunate rahte ho
—tumhen to sunna hi paDega
—kyo?
—tum aurat ho
—to?
—saval mat karo
—kyo?
—nahin, mujhse nahin
—to kisse?
—jisne paida kiya
—tumhen?
—ab tum nahin bachogi
—kya karoge?
—sir dhaD se alag kar dunga
—kiska?
—tumhara
—tum to yahi chahte ho, hota bhi aaya hai
par ab tumhare chahne maatr se kuch nahin ho sakta
suno,tumhen dhaD chahiye
to soch lo saath rahega sir bhi aurat
—pen hai?
—hai
—dena
—ji
—are, laal syahi ka hai?
—hai
—dena
—ji
—yah halka chal raha hai, dusra hai?
—hai
—dena
—ji
—yah ji ji kya laga rakhi hai?
—kya hua?
—bolti kyon nahin?
—pen de diya n?
—par bol kyon nahin rahi?
—likh rahi thi
—lekhan mujhse zyada zaruri hai?
—mainne kab kaha?
—kahti hi to nahin ho
—phir bhi tum kitna kuch sun lete ho
aur sunate rahte ho
—tumhen to sunna hi paDega
—kyo?
—tum aurat ho
—to?
—saval mat karo
—kyo?
—nahin, mujhse nahin
—to kisse?
—jisne paida kiya
—tumhen?
—ab tum nahin bachogi
—kya karoge?
—sir dhaD se alag kar dunga
—kiska?
—tumhara
—tum to yahi chahte ho, hota bhi aaya hai
par ab tumhare chahne maatr se kuch nahin ho sakta
suno,tumhen dhaD chahiye
to soch lo saath rahega sir bhi aurat
स्रोत :
रचनाकार : पद्मजा शर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.