सिलिया चमारिन अगर
चमारिन नहीं होती
तो वह डोमिन होती
डोमिन नहीं होती
तो वह मछुवारिन होती
अगर वह मछुवारिन नहीं होती
तो वह...
ख़ैर वह कुछ भी होती
फिर भी वह सिलिया चमारिन ही होती
जैसे की पंडित मातादीन कुछ भी होते
मगर वह पहले पंडित मातादीन ही होते
और यह पूरा गाँव पांडेपुर ही होता
और यह पूरा देश भारतवर्ष
अगर पंडित मातादीन को बेटा होता
तो वह गोरा होता
पंडितायन गोरी थीं
अगर सिलिया चमारिन को बेटी होती
तो वह काली होती
पंडित मातादीन काले थे
सिलिया चमारिन का छुआ
पंडित खा नहीं सकते थे
पंडितायन की सख़्त हिदायत थी
पंडित उन्हें ना छुएँ
करिया चमारिन और
पंडित उज्ज्वल प्रकाश के
जन्म के बीच दो दिन का फ़र्क़ है
आख़िर दो दिन में
कितने युग होते हैं?
siliya chamarin agar
chamarin nahin hoti
to wo Domin hoti
Domin nahin hoti
to wo machhuwarin hoti
agar wo machhuwarin nahin hoti
to wo
khair wo kuch bhi hoti
phir bhi wo siliya chamarin hi hoti
jaise ki panDit matadin kuch bhi hote
magar wo pahle panDit matadin hi hote
aur ye pura ganw panDepur hi hota
aur ye pura desh bharatwarsh
agar panDit matadin ko beta hota
to wo gora hota
panDitayan gori theen
agar siliya chamarin ko beti hoti
to wo kali hoti
panDit matadin kale the
siliya chamarin ka chhua
panDit kha nahin sakte the
panDitayan ki sakht hidayat thi
panDit unhen na chhuen
kariya chamarin aur
panDit ujjwal parkash ke
janm ke beech do din ka farq hai
akhir do din mein
kitne yug hote hain?
siliya chamarin agar
chamarin nahin hoti
to wo Domin hoti
Domin nahin hoti
to wo machhuwarin hoti
agar wo machhuwarin nahin hoti
to wo
khair wo kuch bhi hoti
phir bhi wo siliya chamarin hi hoti
jaise ki panDit matadin kuch bhi hote
magar wo pahle panDit matadin hi hote
aur ye pura ganw panDepur hi hota
aur ye pura desh bharatwarsh
agar panDit matadin ko beta hota
to wo gora hota
panDitayan gori theen
agar siliya chamarin ko beti hoti
to wo kali hoti
panDit matadin kale the
siliya chamarin ka chhua
panDit kha nahin sakte the
panDitayan ki sakht hidayat thi
panDit unhen na chhuen
kariya chamarin aur
panDit ujjwal parkash ke
janm ke beech do din ka farq hai
akhir do din mein
kitne yug hote hain?
स्रोत :
रचनाकार : अच्युतानंद मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.